charagh shahr-e-wafa ke bujha diye kis ne
charāġh shahr-e-vafā ke bujhā diye kis ne
ye iḳhtilāf ke sho'le sajā diye kis ne
shikast-e-dil kā agar hādisa nahīñ guzrā
unheñ vafā ke salīqe sikhā diye kis ne
mahakte phuul the har rāhbar ke hāthoñ meñ
hamārī raah meñ kāñTe bichhā diye kis ne
añdhere phail ga.e nafratoñ ke donoñ taraf
charāġh dair-o-haram ke bujhā diye kis ne
na zalzala hai na tūfān hai na āñdhī hai
to phir daraḳht achānak girā diye kis ne
jo sang-e-mīl pata manziloñ kā dete the
hamārī rāhguzar se haTā diye kis ne
tamām 'umr kā sarmāya luT gayā 'razmī'
ḳhutūt un ke chhupā kar jalā diye kis ne
charagh shahr-e-wafa ke bujha diye kis ne
ye iKHtilaf ke sho'le saja diye kis ne
shikast-e-dil ka agar hadisa nahin guzra
unhen wafa ke saliqe sikha diye kis ne
mahakte phul the har rahbar ke hathon mein
hamari rah mein kanTe bichha diye kis ne
andhere phail gae nafraton ke donon taraf
charagh dair-o-haram ke bujha diye kis ne
na zalzala hai na tufan hai na aandhi hai
to phir daraKHt achanak gira diye kis ne
jo sang-e-mil pata manzilon ka dete the
hamari rahguzar se haTa diye kis ne
tamam 'umr ka sarmaya luT gaya 'razmi'
KHutut un ke chhupa kar jala diye kis ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.