Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chashm-e-fusun-nawaz kyon ishwa sitam-taraaz kyon

Waheed Arshi

chashm-e-fusun-nawaz kyon ishwa sitam-taraaz kyon

Waheed Arshi

MORE BYWaheed Arshi

    chashm-e-fusūñ-navāz kyoñ ishva sitam-tarāz kyoñ

    ham to haiñ tere mubtalā sheva-e-hīlā-sāz kyoñ

    lutf-o-karam hausla ġhairoñ se sāz-bāz kyoñ

    mujh se ḳhafā ḳhafā hai terī nigāh-e-nāz kyoñ

    shabnam-sifat karam tirā har shai pe jo baras ga.ī

    ham bhī haiñ terī bazm meñ ham se ehtirāz kyoñ

    yuuñ ġhairiyat ko aur bhī rāheñ hazār thiiñ magar

    tark-e-ta.alluqāt ko jurm-e-vafā javāz kyoñ

    bhūlā kabhī na rāsta un galī qais haif

    rusvā.iyoñ ke ḳhauf se dīvāngī majāz kyoñ

    majrūh-e-ishva-e-adā dil hai vo kaun jo nahīñ

    nashtar-navāz us pe hai terī nigāh-e-nāz kyoñ

    har haqīqī ishq meñ jalva ḳhudā hai ayaañ

    mahmūd jis pe thā fidā vo aur thā ayaaz kyoñ

    takmīl shauq-e-dīd mahshar pe kyoñ hai munhasir

    itnī baat ke liye mahshar ai ġham-navāz kyoñ

    sach hai sanam-kadoñ to har but sang hai 'vahīd'

    phir bhī butoñ ke sāmne ḳham hai sar-e-niyāz kyoñ

    chashm-e-fusun-nawaz kyon ishwa sitam-taraaz kyon

    hum to hain tere mubtala shewa-e-hila-saz kyon

    lutf-o-karam ka hausla ghairon se saz-baz kyon

    mujh se KHafa KHafa si hai teri nigah-e-naz kyon

    shabnam-sifat karam tera har shai pe jo baras gai

    hum bhi hain teri bazm mein hum se hi ehtiraaz kyon

    yun ghairiyat ko aur bhi rahen hazar thin magar

    tark-e-talluqat ko jurm-e-wafa jawaz kyon

    bhula kabhi na rasta un ki gali ka qais haif

    ruswaiyon ke KHauf se diwangi majaz kyon

    majruh-e-ishwa-e-ada dil hai wo kaun jo nahin

    nashtar-nawaz us pe hai teri nigah-e-naz kyon

    har ja haqiqi ishq mein jalwa KHuda ka hai ayan

    mahmud jis pe tha fida wo aur tha ayaz kyon

    takmil shauq-e-did ki mahshar pe kyon hai munhasir

    itni si baat ke liye mahshar ai gham-nawaz kyon

    sach hai sanam-kadon ka to har but hi sang hai 'wahid'

    phir bhi buton ke samne KHam hai sar-e-niyaz kyon

    Source:

    Yadon Ka Zindan (Pg. 39)

    • Author: Waheed Arshi
      • Publisher: Idara Makhdoom Jahan, New Delhi
      • Year of Publication: 1991
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now