Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chashm-e-qatil hamein kyunkar na bhala yaad rahe

Shaikh Ibrahim Zauq

chashm-e-qatil hamein kyunkar na bhala yaad rahe

Shaikh Ibrahim Zauq

MORE BYShaikh Ibrahim Zauq

    chashm-e-qātil hameñ kyūñkar na bhalā yaad rahe

    maut insān ko lāzim hai sadā yaad rahe

    merā ḳhuuñ hai tire kūche meñ bahā yaad rahe

    ye bahā vo nahīñ jis na bahā yaad rahe

    kushta-e-zulf ke marqad pe ai lailā-vash

    bed-e-majnūñ lagā tā-ki patā yaad rahe

    ḳhāksārī hai ajab vasf ki juuñ juuñ ho sivā

    ho safā aur dil-e-ahl-e-safā yaad rahe

    ho ye labbaik-e-haram ye azān-e-masjid

    mai-kasho qulqul-e-mīnā sadā yaad rahe

    yaad us vāda-farāmosh ne ġhairoñ se badī

    yaad kuchh kam to na thī aur sivā yaad rahe

    ḳhat bhī likhte haiñ to lete haiñ ḳhatā.ī kāġhaz

    dekhiye kab tak unheñ merī ḳhatā yaad rahe

    do varaq meñ kaf-e-hasrat ke do aalam hai ilm

    sabaq-e-ishq agar tujh ko dilā yaad rahe

    qatl-e-āshiq pe kamar bāñdhī hai ai dil us ne

    par ḳhudā hai ki use naam mirā yaad rahe

    tā.er-e-qibla-numā ban ke kahā dil ne mujhe

    ki taḌap kar yuuñ mar jā.egā yaad rahe

    jab ye dīñ-dār haiñ duniyā namāzeñ paḌhte

    kaash us vaqt unheñ nām-e-ḳhudā yaad rahe

    ham pe sau baar jafā ho to rakho ek na yaad

    bhuul kar bhī kabhī hove to vafā yaad rahe

    mahv itnā bhī na ho ishq-e-butāñ meñ ai 'zauq'

    chāhiye bande ko har vaqt ḳhudā yaad rahe

    chashm-e-qatil hamein kyunkar na bhala yaad rahe

    maut insan ko lazim hai sada yaad rahe

    mera KHun hai tere kuche mein baha yaad rahe

    ye baha wo nahin jis ka na baha yaad rahe

    kushta-e-zulf ke marqad pe tu ai laila-wash

    bed-e-majnun hi laga ta-ki pata yaad rahe

    KHaksari hai ajab wasf ki jun jun ho siwa

    ho safa aur dil-e-ahl-e-safa yaad rahe

    ho ye labbaik-e-haram ya ye azan-e-masjid

    mai-kasho qulqul-e-mina ki sada yaad rahe

    yaad us wada-faramosh ne ghairon se badi

    yaad kuchh kam to na thi aur siwa yaad rahe

    KHat bhi likhte hain to lete hain KHatai kaghaz

    dekhiye kab tak unhen meri KHata yaad rahe

    do waraq mein kaf-e-hasrat ke do aalam ka hai ilm

    sabaq-e-ishq agar tujh ko dila yaad rahe

    qatl-e-ashiq pe kamar bandhi hai ai dil us ne

    par KHuda hai ki use nam mera yaad rahe

    taer-e-qibla-numa ban ke kaha dil ne mujhe

    ki taDap kar yun hi mar jaega ja yaad rahe

    jab ye din-dar hain duniya ki namazen paDhte

    kash us waqt unhen nam-e-KHuda yaad rahe

    hum pe sau bar jafa ho to rakho ek na yaad

    bhul kar bhi kabhi howe to wafa yaad rahe

    mahw itna bhi na ho ishq-e-butan mein ai 'zauq'

    chahiye bande ko har waqt KHuda yaad rahe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now