aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chashmak-zani mein karti nahin yar ka lihaz

Asad Ali Khan Qalaq

chashmak-zani mein karti nahin yar ka lihaz

Asad Ali Khan Qalaq

MORE BYAsad Ali Khan Qalaq

    chashmak-zanī meñ kartī nahīñ yaar lihāz

    nargis aañkh meñ bhī nahīñ hai zarā lihāz

    be-gālī ab to baat bhī karte nahīñ kabhī

    vo ibtidā meñ karte the be-intihā lihāz

    tanhā maiñ aur itne vahāñ haiñ mire raqīb

    nāz-o-adā ġhamza-o-sharm-o-hayā lihāz

    saaqī be-ruḳhī kahāñ taab thī magar

    pīr-e-muġhāñ ruuh karnā paḌā lihāz

    kyā vasf-e-chashm-e-yār karūñ is ke sāmne

    nargis se hai faqat mujhe ik aañkh lihāz

    hurmat baḌī hai us na kar hajv is qadar

    lāzim hai duḳht-e-raz tujhe vā.izā lihāz

    niklī na ḳhum se bazm-e-javānān-e-mast meñ

    pīr-e-muġhāñ bint-e-inab ne kiyā lihāz

    phir mujh se is tarah na kījegā dil-lagī

    ḳhair us ghaḌī to aap maiñ kar gayā lihāz

    be-ḳhud sharāb-e-shauq ne shab ko ye kar diyā

    un ko rahā hijāb na mujh ko rahā lihāz

    qurbān is hijāb ke is sharm ke nisār

    itnā na āshiqoñ se kar ai mah-laqā lihāz

    mahjūb hai mizāj 'qalaq' apnā is qadar

    karte haiñ apne ḳhurd bhī ham burā lihāz

    chashmak-zani mein karti nahin yar ka lihaz

    nargis ki aankh mein bhi nahin hai zara lihaz

    be-gali ab to baat bhi karte nahin kabhi

    wo ibtida mein karte the be-intiha lihaz

    tanha main aur itne wahan hain mere raqib

    naz-o-ada ghamza-o-sharm-o-haya lihaz

    saqi ki be-ruKHi ki kahan tab thi magar

    pir-e-mughan ki ruh ka karna paDa lihaz

    kya wasf-e-chashm-e-yar karun is ke samne

    nargis se hai faqat mujhe ek aankh ka lihaz

    hurmat baDi hai us ki na kar hajw is qadar

    lazim hai duKHt-e-raz ka tujhe waiza lihaz

    nikli na KHum se bazm-e-jawanan-e-mast mein

    pir-e-mughan ka bint-e-inab ne kiya lihaz

    phir mujh se is tarah ki na kijega dil-lagi

    KHair us ghaDi to aap ka main kar gaya lihaz

    be-KHud sharab-e-shauq ne shab ko ye kar diya

    un ko raha hijab na mujh ko raha lihaz

    qurban is hijab ke is sharm ke nisar

    itna na aashiqon se kar ai mah-laqa lihaz

    mahjub hai mizaj 'qalaq' apna is qadar

    karte hain apne KHurd ka bhi hum bura lihaz

    Source:

    Mazhar-e-Ishq (Pg. e-89 p-87)

    • Author: Asad Ali Khan Qalaq
      • Edition: 1911
      • Publisher: Munshi Naval Kishor, Kanpur
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now