chehre apne gham ke ye tufan badalte rahte hain
chehre apne ġham ke ye tūfān badalte rahte haiñ
aur hamārī ḳhushiyoñ ke 'unvān badalte rahte haiñ
āzādī kī ḳhvāhish bhī ik qaid ke jaisī hotī hai
jurm vahī hotā hai bas zindān badalte rahte haiñ
kuchh shā'ir ke she'r kisī duuje shā'ir se hote haiñ
kuchh ġham aise haiñ jo bas pahchān badalte rahte haiñ
kuchh ḳhvāboñ ko dekh ke lagtā hai pahle bhī dekhā hai
kuchh murde bas apnā qabristān badalte rahte haiñ
roz nayā mil jaatā hai kuchh kisī kitāb ke panne par
shauq badaltā rahtā hai dīvān badalte rahte haiñ
chehre apne gham ke ye tufan badalte rahte hain
aur hamari KHushiyon ke 'unwan badalte rahte hain
aazadi ki KHwahish bhi ek qaid ke jaisi hoti hai
jurm wahi hota hai bas zindan badalte rahte hain
kuchh sha'ir ke she'r kisi duje sha'ir se hote hain
kuchh gham aise hain jo bas pahchan badalte rahte hain
kuchh KHwabon ko dekh ke lagta hai pahle bhi dekha hai
kuchh murde bas apna qabristan badalte rahte hain
roz naya mil jata hai kuchh kisi kitab ke panne par
shauq badalta rahta hai diwan badalte rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.