chehron se ho kya dil ke jazbaat ka andaza
chehroñ se ho kyā dil ke jazbāt kā andāza
chehroñ pe hai logoñ ke ālūdgī-e-ġhāza
ham ne hī to sūraj se āñkheñ bhī milā.ī thiiñ
ham ko hī bhugatnā thā is jurm kā ḳhamyāza
phir dil ke taḌapne kī shiddat meñ kamī sī hai
ai nashtar-e-ġham dil ko de zaḳhm koī taaza
ye soch ke chuntā huuñ phir tinke nasheman ke
phir jam' kiyā jaa.e bikhrā huā shīrāza
betāb hai dil 'ambar' kis tarh unheñ dekhūñ
hai band nigāhoñ par ummīd kā darvāza
chehron se ho kya dil ke jazbaat ka andaza
chehron pe hai logon ke aaludgi-e-ghaza
hum ne hi to suraj se aankhen bhi milai thin
hum ko hi bhugatna tha is jurm ka KHamyaza
phir dil ke taDapne ki shiddat mein kami si hai
ai nashtar-e-gham dil ko de zaKHm koi taza
ye soch ke chunta hun phir tinke nasheman ke
phir jam' kiya jae bikhra hua shiraaza
betab hai dil 'ambar' kis tarh unhen dekhun
hai band nigahon par ummid ka darwaza
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.