aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chhanw ko takte dhup mein chalte ek zamana bit gaya

Faza Ibn e Faizi

chhanw ko takte dhup mein chalte ek zamana bit gaya

Faza Ibn e Faizi

MORE BYFaza Ibn e Faizi

    chhāñv ko takte dhuup meñ chalte ek zamāna biit gayā

    hasratoñ āġhosh meñ palte ek zamāna biit gayā

    aaj bhī haiñ vo sulge sulge tere lab o aariz tarah

    jin zaḳhmoñ par pañkhā jhalte ek zamāna biit gayā

    maiñ ab apnā jism nahīñ huuñ sirf tumhārā saaya huuñ

    mausam ye barf pighalte ek zamāna biit gayā

    ab tak apne haath na aayā surma.ī chhāñv dāman bhī

    chāñdī jaisī dhuup meñ jalte ek zamāna biit gayā

    vaqt madārī hai kyā jaane khel apnā kab ḳhatm kare

    sāñsoñ is Dor pe chalte ek zamāna biit gayā

    zindagī aur lamhoñ ta.āqub jin koī or na chhor

    sadiyoñ sadiyoñ moḌ badalte ek zamāna biit gayā

    ab bhī tirī mehrāb-e-suḳhan meñ sham.eñ raushan haiñ 'fazā'

    sūraj ko ye aag ugalte ek zamāna biit gayā

    chhanw ko takte dhup mein chalte ek zamana bit gaya

    hasraton ki aaghosh mein palte ek zamana bit gaya

    aaj bhi hain wo sulge sulge tere lab o aariz ki tarah

    jin zaKHmon par pankha jhalte ek zamana bit gaya

    main ab apna jism nahin hun sirf tumhaara saya hun

    mausam ki ye barf pighalte ek zamana bit gaya

    ab tak apne hath na aaya surmai chhanw ka daman bhi

    chandi jaisi dhup mein jalte ek zamana bit gaya

    waqt madari hai kya jaane khel apna kab KHatm kare

    sanson ki is Dor pe chalte ek zamana bit gaya

    zindagi aur lamhon ka taaqub jin ka koi or na chhor

    sadiyon sadiyon moD badalte ek zamana bit gaya

    ab bhi teri mehrab-e-suKHan mein shamen si raushan hain 'faza'

    suraj ko ye aag ugalte ek zamana bit gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now