chhin kar chehre se aasar-e-wafa le jaegi
chhīn kar chehre se āsār-e-vafā le jā.egī
ek āñdhī aa.egī saarī adā le jā.egī
jism-e-uryāñ Dhāñpne kā ye tamāshā bhī sanam
kal sahar jab aa.egī ye bhī adā le jā.egī
parbatoñ se aa rahī hai ek mauj-e-be-karāñ
jo hamāre shahr kī āb-o-havā le jā.egī
is añdherī raat kā aane kā andesha hai jo
aañkh kyā hai zehn-o-dil kī har ziyā le jā.egī
ghar ke darvāze darīche band rakkho ye havā
taaq par jo bhī diyā hai vo bujhā le jā.egī
jab nadī aa.egī bahtī zindagī ke saath saath
mere ghar meñ jo bhī shai hai vo uThā le jā.egī
ye dar-o-dīvār to rah jā.eñge lekin 'shamīm'
chhat makānoñ kī havā shāyad uḌā le jā.egī
chhin kar chehre se aasar-e-wafa le jaegi
ek aandhi aaegi sari ada le jaegi
jism-e-uryan Dhanpne ka ye tamasha bhi sanam
kal sahar jab aaegi ye bhi ada le jaegi
parbaton se aa rahi hai ek mauj-e-be-karan
jo hamare shahr ki aab-o-hawa le jaegi
is andheri raat ka aane ka andesha hai jo
aankh kya hai zehn-o-dil ki har ziya le jaegi
ghar ke darwaze dariche band rakkho ye hawa
taq par jo bhi diya hai wo bujha le jaegi
jab nadi aaegi bahti zindagi ke sath sath
mere ghar mein jo bhi shai hai wo uTha le jaegi
ye dar-o-diwar to rah jaenge lekin 'shamim'
chhat makanon ki hawa shayad uDa le jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.