chhoD ab ye agar magar mere dost
chhoḌ ab ye agar magar mire dost
'ishq karnā hai kar guzar mire dost
vaqt kā faisla aTal hogā
vaqt ke faisle se Dar mire dost
shukriya hāl-chāl pūchhne kā
ho rahī hai guzar-basar mire dost
kis taraf hai tirī vafādārī
saaf saaf aaj baat kar mire dost
ek muddat se rābta hī nahīñ
de koī ḳhair kī ḳhabar mire dost
laḌkhaḌāne lage haiñ tere qadam
mere shāne pe haath dhar mire dost
barf ke but banā.egā kaise
garm kamre meñ baiTh kar mire dost
niiñd āñkhoñ se ab jhaTak 'āsim'
dekh hone ko hai sahar mire dost
chhoD ab ye agar magar mere dost
'ishq karna hai kar guzar mere dost
waqt ka faisla aTal hoga
waqt ke faisle se Dar mere dost
shukriya haal-chaal puchhne ka
ho rahi hai guzar-basar mere dost
kis taraf hai teri wafadari
saf saf aaj baat kar mere dost
ek muddat se rabta hi nahin
de koi KHair ki KHabar mere dost
laDkhaDane lage hain tere qadam
mere shane pe hath dhar mere dost
barf ke but banaega kaise
garm kamre mein baiTh kar mere dost
nind aankhon se ab jhaTak 'asim'
dekh hone ko hai sahar mere dost
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 169)
- Author :Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.