chhup ke nazron se mere dil mein samane wale
chhup ke nazroñ se mire dil meñ samāne vaale
ab tujhe DhūñD na pā.eñge zamāne vaale
iḳhtilāfāt-e-mohabbat to bajā haiñ phir bhī
yaad aate haiñ bahut ruuTh ke jaane vaale
mai-parastī pe ye īmān ye jazba ye ḳhulūs
kyā 'ajab log haiñ ye pīne-pilāne vaale
un ke vā'doñ pe na jā ai dil-e-betāb na jā
aise aaya nahīñ karte kabhī jaane vaale
mujh ko Dar hai kahīñ phūloñ se na kho jaa.e tū
ruḳh se parda na uThā baaġh meñ aane vaale
jo bane phirte the urdu ke muhāfiz 'ishrat'
vahī nikle ise bhārat se miTāne vaale
chhup ke nazron se mere dil mein samane wale
ab tujhe DhunD na paenge zamane wale
iKHtilafat-e-mohabbat to baja hain phir bhi
yaad aate hain bahut ruTh ke jaane wale
mai-parasti pe ye iman ye jazba ye KHulus
kya 'ajab log hain ye pine-pilane wale
un ke wa'don pe na ja ai dil-e-betab na ja
aise aaya nahin karte kabhi jaane wale
mujh ko Dar hai kahin phulon se na kho jae tu
ruKH se parda na uTha bagh mein aane wale
jo bane phirte the urdu ke muhafiz 'ishrat'
wahi nikle ise bhaarat se miTane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.