Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chhupa kar apni kartuten hunar ki baat karte hain

Pramod Sharma Asar

chhupa kar apni kartuten hunar ki baat karte hain

Pramod Sharma Asar

MORE BYPramod Sharma Asar

    chhupā kar apnī kartūteñ hunar baat karte haiñ

    shajar ko kāTne vaale samar baat karte haiñ

    jale haiñ jo nasheman raakh par un khaḌe ho kar

    jinhoñ ne phūñk Daale ghar vo ghar baat karte haiñ

    anāsir jis ke the mehr-o-vafā shafqat adab ġhairat

    unheñ jo bhuul baiThā us bashar baat karte haiñ

    ghire haiñ muddatoñ se jo añdheroñ meñ masā.ib ke

    nahīñ aatī kabhī jo us sahar baat karte haiñ

    sabhī se bazm meñ hañs kar milī be-sāḳhta lekin

    nahīñ ham par paḌī jo us nazar baat karte haiñ

    hue taqsīm jab se dushmanī qaa.em bhī hai lekin

    udhar vaale hamārī ham udhar baat karte haiñ

    nahīñ hai rābta jin 'asar' pairoñ ke chhāloñ se

    gharoñ se jo nahīñ nikle safar baat karte haiñ

    chhupa kar apni kartuten hunar ki baat karte hain

    shajar ko kaTne wale samar ki baat karte hain

    jale hain jo nasheman rakh par un ki khaDe ho kar

    jinhon ne phunk Dale ghar wo ghar ki baat karte hain

    anasir jis ke the mehr-o-wafa shafqat adab ghairat

    unhen jo bhul baiTha us bashar ki baat karte hain

    ghire hain muddaton se jo andheron mein masaib ke

    nahin aati kabhi jo us sahar ki baat karte hain

    sabhi se bazm mein hans kar mili be-saKHta lekin

    nahin hum par paDi jo us nazar ki baat karte hain

    hue taqsim jab se dushmani qaem bhi hai lekin

    udhar wale hamari hum udhar ki baat karte hain

    nahin hai rabta jin ka 'asar' pairon ke chhaalon se

    gharon se jo nahin nikle safar ki baat karte hain

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Pramod Sharma Asar

    Pramod Sharma Asar

    RECITATIONS

    Pramod Sharma Asar

    Pramod Sharma Asar,

    Pramod Sharma Asar

    chhupa kar apni kartuten hunar ki baat karte hain Pramod Sharma Asar

    Source:

    Rang Sapno ke (Pg. 71)

    • Author: Pramod Sharma 'Asar'
      • Edition: 2016
      • Publisher: Amrit Parkashan
      • Year of Publication: 2016
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now