Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chum lo us hath ko jo hath bik jata na ho

Bashir Farooqi

chum lo us hath ko jo hath bik jata na ho

Bashir Farooqi

MORE BYBashir Farooqi

    chuum lo us haath ko jo haath bik jaatā na ho

    vaqt sachchā.iyāñ likhne se ghabrātā na ho

    hādisa ye hai ki merī pyaas ne bāñdhī hai aas

    aise bādal se barasnā jise aatā na ho

    koī raahī itnā bhī bebas nahīñ hotā jise

    koī aañsū koī jugnū raah dikhlātā na ho

    is imkāñ hai ki is shahr-e-sarāb-o-ḳhvāb meñ

    jis ko letā ho insāñ us ko bhī paatā na ho

    koī din aisā nahīñ ai ḳhūb-sūrat zindagī

    jab mirī āñkhoñ meñ terā ruup lahrātā na ho

    dil meñ armāñ le ke chaltā ho to mumkin nahīñ

    aadmī shīshe se patthar se Takrātā na ho

    vo koī tasvīr hai jis meñ na ho rang-e-vafā

    vo koī manzar hai jo āñkhoñ ko bahlātā na ho

    ik irāda hai junūñ hai ik safar hai zindagī

    hādsoñ se vo Dare jiinā jise aatā na ho

    aise sūraj se to miTTī diyā achchhā 'bashīr'

    aisā sūraj jo kisī āñgan talak jaatā na ho

    chum lo us hath ko jo hath bik jata na ho

    waqt ki sachchaiyan likhne se ghabraata na ho

    hadisa ye hai ki meri pyas ne bandhi hai aas

    aise baadal se barasna hi jise aata na ho

    koi rahi itna bhi bebas nahin hota jise

    koi aansu koi jugnu rah dikhlata na ho

    is ka imkan hai ki is shahr-e-sarab-o-KHwab mein

    jis ko pa leta ho insan us ko bhi pata na ho

    koi din aisa nahin ai KHub-surat zindagi

    jab meri aankhon mein tera rup lahraata na ho

    dil mein arman le ke chalta ho to mumkin hi nahin

    aadmi shishe se ya patthar se Takraata na ho

    wo koi taswir hai jis mein na ho rang-e-wafa

    wo koi manzar hai jo aankhon ko bahlata na ho

    ek irada hai junun hai ek safar hai zindagi

    hadson se wo Dare jina jise aata na ho

    aise suraj se to miTTi ka diya achchha 'bashir'

    aisa suraj jo kisi aangan talak jata na ho

    Source:

    Paron Ke Darmiyan (Pg. 48)

    • Author: Bashir Farooqi
      • Publisher: Bashir Farooqi
      • Year of Publication: 1996
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now