chumne ko pa-e-nazuk yar ke
chūmne ko pā-e-nāzuk yaar ke
bichh ga.e haiñ phuul harsingār ke
bas qadam paḌ jaa.eñ gar sarkār ke
bhaag khul jaa.eñ dar-o-dīvār ke
kaam ho jaa.e mirī bīnā.ī kā
jog ban jaa.eñ tire dīdār ke
terī aamad kā idhar charchā huā
phuul udhar mahñge hue bāzār ke
Tuk nazar kar is taraf bhī ai tabīb
zaḳhm bhar jaa.eñ tire bīmār ke
aarzū to hai tire iqrār kī
muntazir bhī haiñ tire inkār ke
'mīr' sī ġhazleñ kaheñ par 'bhāskar'
dukh kahāñ se laa.eñ us me'yār ke
chumne ko pa-e-nazuk yar ke
bichh gae hain phul harsingar ke
bas qadam paD jaen gar sarkar ke
bhag khul jaen dar-o-diwar ke
kaam ho jae meri binai ka
jog ban jaen tere didar ke
teri aamad ka idhar charcha hua
phul udhar mahnge hue bazar ke
Tuk nazar kar is taraf bhi ai tabib
zaKHm bhar jaen tere bimar ke
aarzu to hai tere iqrar ki
muntazir bhi hain tere inkar ke
'mir' si ghazlen kahen par 'bhaskar'
dukh kahan se laen us me'yar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.