Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dagh-e-dil hain ghairat-e-sad-lala-zar ab ke baras

Habeeb Moosavi

dagh-e-dil hain ghairat-e-sad-lala-zar ab ke baras

Habeeb Moosavi

MORE BYHabeeb Moosavi

    dāġh-e-dil haiñ ġhairat-e-sad-lāla-zār ab ke baras

    ba.ad muddat ke hai phir josh-e-bahār ab ke baras

    ābiyārī se tirī ai teġh-e-yār ab ke baras

    taḳhta-e-gul hai hamārā jism-e-zār ab ke baras

    tā-ba-dāman hai garebāñ taar taar ab ke baras

    TūTte haiñ talvoñ meñ chubh chubh ke ḳhaar ab ke baras

    hai ye zor-e-āmad-e-fasl-e-bahār ab ke baras

    mast haiñ zāhid bhī misl-e-bāda-ḳhvār ab ke baras

    ulfat-e-sāqī ne lo zāhid ko bhī khīñchā idhar

    daur-e-mai sub.ha par hogā shumār ab ke baras

    fasl-e-gul meñ ba.ad-e-murdan bhī huā josh-e-junūñ

    sañg-e-tiflāñ se ho tarmīm-e-mazār ab ke baras

    shīshe meñ pinhāñ hai mai aur dil meñ zauq-e-mai-kashī

    aate saaqī ke ai abr-e-bahār ab ke baras

    sāqiyā ainak chaḌhe hoñ ranj-o-ġham bālā-e-tāq

    bāda-e-dī-sāla shīsha utaar ab ke baras

    zulm par bāñdhī hai phir sayyād-o-gulchīñ ne kamar

    qaid-e-bulbul hai gulshan meñ pukār ab ke baras

    aarzū hai ba.ad-e-murdan bhī rahūñ sairāb-e-mai

    sarf-e-jām-o-ḳhum kareñ merā ġhubār ab ke baras

    josh-e-ḳhūn-e-bulbul-e-shaidā paidā ho asar

    le agar fasd-e-rag-e-gul nok-e-ḳhār ab ke baras

    julte haiñ dil bulbuloñ ke āshiyāñ tarah se

    ātish-e-gul hai gulshan meñ pukār ab ke baras

    qismat apnī apnī hai achchhā mubārak ho 'habīb'

    ḳhār-e-ġham ham ko tumheñ pahlū-e-yār ab ke baras

    dagh-e-dil hain ghairat-e-sad-lala-zar ab ke baras

    baad muddat ke hai phir josh-e-bahaar ab ke baras

    aabiyari se teri ai tegh-e-yar ab ke baras

    taKHta-e-gul hai hamara jism-e-zar ab ke baras

    ta-ba-daman hai gareban tar tar ab ke baras

    TuTte hain talwon mein chubh chubh ke KHar ab ke baras

    hai ye zor-e-amad-e-fasl-e-bahaar ab ke baras

    mast hain zahid bhi misl-e-baada-KHwar ab ke baras

    ulfat-e-saqi ne lo zahid ko bhi khincha idhar

    daur-e-mai ka subha par hoga shumar ab ke baras

    fasl-e-gul mein baad-e-murdan bhi hua josh-e-junun

    sang-e-tiflan se ho tarmim-e-mazar ab ke baras

    shishe mein pinhan hai mai aur dil mein zauq-e-mai-kashi

    aate hi saqi ke ai abr-e-bahaar ab ke baras

    saqiya ainak chaDhe hon ranj-o-gham baala-e-taq

    baada-e-di-sala ka shisha utar ab ke baras

    zulm par bandhi hai phir sayyaad-o-gulchin ne kamar

    qaid-e-bulbul ki hai gulshan mein pukar ab ke baras

    aarzu hai baad-e-murdan bhi rahun sairab-e-mai

    sarf-e-jam-o-KHum karen mera ghubar ab ke baras

    josh-e-KHun-e-bulbul-e-shaida ka paida ho asar

    le agar fasd-e-rag-e-gul nok-e-KHar ab ke baras

    julte hain dil bulbulon ke aashiyan ki tarah se

    aatish-e-gul ki hai gulshan mein pukar ab ke baras

    qismat apni apni hai achchha mubarak ho 'habib'

    KHar-e-gham hum ko tumhein pahlu-e-yar ab ke baras

    Source:

    Deewan-e-habeeb (Pg. ebook-120 page-101)

    • Author: Habeeb Moosavi
      • Publisher: Ufuq Matba Shamshi, Hydrabad
      • Year of Publication: 1900
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now