daman bacha ke shauq se ghussa utariye
dāman bachā ke shauq se ġhussa utāriye
kīchaḌ meñ saañp ko bhī na patthar se māriye
phir kījiyegā shikva-e-malbūs-e-zindagī
pahle ḳhud apne jism kī hālat sañvāriye
behtar yahī hai aap jahāñ haiñ vahīñ raheñ
Tiile pe chaḌh ke qad ko na apne ubhāriye
maiñ gir gayā to aap pe ilzām aa.egā
itnī bulandiyoñ se mujhe mat pukāriye
yuuñ lag rahā hai jaise koī ajnabī huuñ maiñ
itne tapāk se to na mujh ko pukāriye
aisī hī ehtiyāj agar hai to ai 'mushīr'
dāman kisī sharīf ke aage pasāriye
daman bacha ke shauq se ghussa utariye
kichaD mein sanp ko bhi na patthar se mariye
phir kijiyega shikwa-e-malbus-e-zindagi
pahle KHud apne jism ki haalat sanwariye
behtar yahi hai aap jahan hain wahin rahen
Tile pe chaDh ke qad ko na apne ubhaariye
main gir gaya to aap pe ilzam aaega
itni bulandiyon se mujhe mat pukariye
yun lag raha hai jaise koi ajnabi hun main
itne tapak se to na mujh ko pukariye
aisi hi ehtiyaj agar hai to ai 'mushir'
daman kisi sharif ke aage pasariye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.