aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

daman tera mujhse chhuTa milne ke haalat nahin

Elizabeth Kurian Mona

daman tera mujhse chhuTa milne ke haalat nahin

Elizabeth Kurian Mona

MORE BYElizabeth Kurian Mona

    dāman terā mujh se chhūTā milne ke hālāt nahīñ

    lekin tujh ko bhuul sakūñ maiñ aisī bhī to baat nahīñ

    badle badle se lagte haiñ aaj ye tere tevar kyuuñ

    pahle jaise kyuuñ ab tere pyaar ke vo jazbāt nahīñ

    mere haath saarī lakīreñ uljhī uljhī laakh sahī

    un meñ mujh ko mil jaa.e hogī merī maat nahīñ

    tum se bichhḌe arsa biitā phir bhī aks hai āñkhoñ meñ

    aa.e na ho tum ḳhvāboñ meñ jo aisī koī raat nahīñ

    ḳhush-qismat haiñ log vo jin ko pyaar ke badle pyaar milā

    is duniyā meñ har insāñ ko hāsil ye sauġhāt nahīñ

    jaate jaate ġham daulat tum ne bhar jholī meñ

    ab ye ziist sarmāya hai ma.amūlī ḳhairāt nahīñ

    dard-bharī hai yād-e-māzī phir bhī bas lete haiñ

    ham ne jaanā har manDap meñ aatī hai bārāt nahīñ

    chāhe bahār mausam ho vasl koī aalam ho

    biit ga.e jo phir se vāpas aate vo lamhāt nahīñ

    jab jab tum yaad aa.e 'monā' bhar aa.iiñ merī āñkheñ

    aag lagā.e dil meñ aañsū ye koī barsāt nahīñ

    daman tera mujh se chhuTa milne ke haalat nahin

    lekin tujh ko bhul sakun main aisi bhi to baat nahin

    badle badle se lagte hain aaj ye tere tewar kyun

    pahle jaise kyun ab tere pyar ke wo jazbaat nahin

    mere hath ki sari lakiren uljhi uljhi lakh sahi

    un mein mujh ko tu mil jae hogi meri mat nahin

    tum se bichhDe arsa bita phir bhi aks hai aankhon mein

    aae na ho tum KHwabon mein jo aisi koi raat nahin

    KHush-qismat hain log wo jin ko pyar ke badle pyar mila

    is duniya mein har insan ko hasil ye saughat nahin

    jate jate gham ki daulat tum ne bhar di jholi mein

    ab ye zist ka sarmaya hai mamuli KHairaat nahin

    dard-bhari hai yaad-e-mazi phir bhi bas ji lete hain

    hum ne jaana har manDap mein aati hai baraat nahin

    chahe bahaar ka mausam ho ya wasl ka koi aalam ho

    bit gae jo phir se wapas aate wo lamhat nahin

    jab jab tum yaad aae 'mona' bhar aain meri aankhen

    aag lagae dil mein aansu ye koi barsat nahin

    Source:

    Kahkashaan (Pg. 57)

    • Author: Elizabeth Kurian Mona
      • Edition: 2013
      • Publisher: Educational Publishing House
      • Year of Publication: 2013
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now