dahakte din mein ajab lutf uThaya karta tha
dahakte din meñ 'ajab lutf uThāyā kartā thā
maiñ apne haath kā titlī pe saaya kartā thā
agar maiñ pūchhtā bādal kidhar ko jaate haiñ
javāb meñ koī aañsū bahāyā kartā thā
maiñ apnī TūTtī āvāz gāñThne ke liye
kahīñ se lafz kā paivand laayā kartā thā
'ajīb hasrat-e-parvāz mujh meñ hotī thī
maiñ copiyoñ meñ parinde banāyā kartā thā
talāsh-e-rizq meñ bhaTke hue parindoñ ko
maiñ jeb ḳharch se daanā khilāyā kartā thā
hamāre ghar ke qarīb ek jhiil hotī thī
aur us meñ shaam ko sūraj nahāyā kartā thā
ye zindagī to mujhe tere paas le aa.ī
ye rāsta to kahīñ aur jaayā kartā thā
dahakte din mein 'ajab lutf uThaya karta tha
main apne hath ka titli pe saya karta tha
agar main puchhta baadal kidhar ko jate hain
jawab mein koi aansu bahaya karta tha
main apni TuTti aawaz ganThne ke liye
kahin se lafz ka paiwand laya karta tha
'ajib hasrat-e-parwaz mujh mein hoti thi
main copiyon mein parinde banaya karta tha
talash-e-rizq mein bhaTke hue parindon ko
main jeb KHarch se dana khilaya karta tha
hamare ghar ke qarib ek jhil hoti thi
aur us mein sham ko suraj nahaya karta tha
ye zindagi to mujhe tere pas le aai
ye rasta to kahin aur jaya karta tha
- Book : Agar Main Sher Na Kahta (Pg. 86)
- Author :Abbas Tabish
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.