dahakti aag mein baadal ke andar baat karta hai
dahaktī aag meñ bādal ke andar baat kartā hai
koī pyāsā mire jal-thal ke andar baat kartā hai
jhalaktā hai numū kā ik tasalsul merī miTTī se
koī gul-ruḳh na.ī koñpal ke andar baat kartā hai
havā se ret kī sūrat bikharte haiñ mire patte
koī sahrā mire jangal ke andar baat kartā hai
bahut ḳhāmosh rahtā hai lahū merī varīdoñ meñ
dar-o-dīvār se maqtal ke andar baat kartā hai
bichhā rahtā hai ik pul kī tarah mere zamānoñ par
guzashta pal mire har pal ke andar baat kartā hai
suḳhan ke baab mujh par kholtā hai shab kī vahshat meñ
koī 'at.har' bujhī mash'al ke andar baat kartā hai
dahakti aag mein baadal ke andar baat karta hai
koi pyasa mere jal-thal ke andar baat karta hai
jhalakta hai numu ka ek tasalsul meri miTTi se
koi gul-ruKH nai konpal ke andar baat karta hai
hawa se ret ki surat bikharte hain mere patte
koi sahra mere jangal ke andar baat karta hai
bahut KHamosh rahta hai lahu meri waridon mein
dar-o-diwar se maqtal ke andar baat karta hai
bichha rahta hai ek pul ki tarah mere zamanon par
guzashta pal mere har pal ke andar baat karta hai
suKHan ke bab mujh par kholta hai shab ki wahshat mein
koi 'athar' bujhi mash'al ke andar baat karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.