Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dam-ba-KHud baiTh ke KHud jaise zaban gili hai

Arzoo Lakhnavi

dam-ba-KHud baiTh ke KHud jaise zaban gili hai

Arzoo Lakhnavi

MORE BYArzoo Lakhnavi

    dam-ba-ḳhud baiTh ke ḳhud jaise zabāñ giilī hai

    saañs kyā luuñ ki havā dahr zahrīlī hai

    ban gayā qatra-e-nāchīz taraqqī se guhar

    zaat hai ek faqat naam tabdīlī hai

    laag ne jis mujhe phūñkā hai andar andar

    sham.a us aag ik hai.at-e-tamsīlī hai

    mal ke miTTī tirī chaukhaT huā ḳhaak se paak

    jo lakīr ab mire māthe hai chamkīlī hai

    phir uḌānā haiñ garebāñ ke mujhī ko purze

    haath bekār abhī the qabā hai

    'ārzū' hogā ye maqtal azā-ḳhāna bhī

    shafaqī farsh zamīñ hai to chhat niilī hai

    dam-ba-KHud baiTh ke KHud jaise zaban gili hai

    sans kya lun ki hawa dahr ki zahrili hai

    ban gaya qatra-e-nachiz taraqqi se guhar

    zat hai ek faqat nam ki tabdili hai

    lag ne jis ki mujhe phunka hai andar andar

    shama us aag ki ek haiat-e-tamsili hai

    mal ke miTTi teri chaukhaT ki hua KHak se pak

    jo lakir ab mere mathe ki hai chamkili hai

    phir uDana hain gareban ke mujhi ko purze

    hath bekar abhi the ki qaba si li hai

    'arzu' hoga ye maqtal hi aza-KHana bhi

    shafaqi farsh zamin ka hai to chhat nili hai

    Source:

    Range-e-Gazal (Pg. 428)

    • Author: shahzaad ahmad
      • Edition: 1988
      • Publisher: Ali Printers, 19-A Abate Road, Lahore
      • Year of Publication: 1988
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now