dam nahin hai zabt ka yara nahin
dam nahīñ hai zabt kā yaarā nahīñ
sabr karne ke sivā chārā nahīñ
haath yuuñ paḌtā hai merā jeb meñ
juuñ qadam daldal pe dobāra nahīñ
maar Daalā ġhalba-e-jazbāt ne
maiñ ġham-o-ālām se haarā nahīñ
aap mar jā.eñge marte mārte
marne vaalā nafs-e-ammāra nahīñ
'umr be-masraf kaTī hai aur ab
aa.egā ye din bhī dobāra nahīñ
Taap par pahuñchā huā hai nang-pan
aur kahīñ se huuñ kā hunkārā nahīñ
us ko āsānī se maarā jā.egā
Thok kar ḳham jis ne lalkārā nahīñ
shā'irī kī top dāġhī hai 'nishāt'
aur koī tiir to maarā nahīñ
dam nahin hai zabt ka yara nahin
sabr karne ke siwa chaara nahin
hath yun paDta hai mera jeb mein
jun qadam daldal pe dobara nahin
mar Dala ghalba-e-jazbaat ne
main gham-o-alam se haara nahin
aap mar jaenge marte marte
marne wala nafs-e-ammara nahin
'umr be-masraf kaTi hai aur ab
aaega ye din bhi dobara nahin
Tap par pahuncha hua hai nang-pan
aur kahin se hun ka hunkara nahin
us ko aasani se mara jaega
Thok kar KHam jis ne lalkara nahin
sha'iri ki top daghi hai 'nishat'
aur koi tir to mara nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.