Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dar aaya andhera aankhon mein aur sab manzar dhundlae hain

Shabnam Shakeel

dar aaya andhera aankhon mein aur sab manzar dhundlae hain

Shabnam Shakeel

MORE BYShabnam Shakeel

    dar aayā añdherā āñkhoñ meñ aur sab manzar dhundlā.e haiñ

    ye vaqt hai dil ke Dūbne aur shaam ke gahre saa.e haiñ

    ye zarā zarā ḳhushiyāñ bhī to laakh jatan se miltī haiñ

    mat chheḌo ret-gharoñdoñ ko kis mushkil se ban paa.e haiñ

    vo lamha dil aziyyat to guzar gayā ab sochne do

    kyā kahnā hogā un se mujhe jo pursish-e-ġham ko aa.e haiñ

    jaltī huī sham.oñ ne aksar ehsās raakh ko bhaḌkāyā

    qurbat meñ damakte chehroñ tanhā.ī ke dukh yaad aa.e haiñ

    sochoñ ko tar-o-tāza rakkhā 'shabnam' tire paiham ashkoñ ne

    hairat hai ki ahd-e-ḳhizāñ meñ bhī ye phuul nahīñ kumhlā.e haiñ

    dar aaya andhera aankhon mein aur sab manzar dhundlae hain

    ye waqt hai dil ke Dubne ka aur sham ke gahre sae hain

    ye zara zara si KHushiyan bhi to lakh jatan se milti hain

    mat chheDo ret-gharondon ko kis mushkil se ban pae hain

    wo lamha dil ki aziyyat ka to guzar gaya ab sochne do

    kya kahna hoga un se mujhe jo pursish-e-gham ko aae hain

    jalti hui shamon ne aksar ehsas ki rakh ko bhaDkaya

    qurbat mein damakte chehron ki tanhai ke dukh yaad aae hain

    sochon ko tar-o-taza rakkha 'shabnam' tere paiham ashkon ne

    hairat hai ki ahd-e-KHizan mein bhi ye phul nahin kumhlae hain

    Source:

    Shab Zaad (Pg. 73)

    • Author: Shabnam Shakeel
      • Edition: 1978
      • Publisher: Mavaraa Publications
      • Year of Publication: 1978
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now