Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Dar maut ka na KHauf kisi devta ka tha

Waseem Minai

Dar maut ka na KHauf kisi devta ka tha

Waseem Minai

MORE BYWaseem Minai

    Dar maut na ḳhauf kisī devtā thā

    vo fat.h-yāb yuuñ thā ki banda ḳhudā thā

    pahle bhī hādsāt hue zindagī ke saath

    lekin jo aaj dekhā vo manzar balā thā

    lo vo bhī gir gayā mire āñgan peḌ aaj

    har vaqt jis se aasrā taaza havā thā

    sun kar jise pahāḌoñ ke siine dahal ga.e

    ye bhī karishma dosto apnī sadā thā

    tūfāñ se bach nikalne sūrat na thī koī

    ye faiz merī maañ ke dast-e-duā thā

    tum bhī bhulā do tark-e-ta.alluq vāqi.a

    ham bhī ye soch leñge ki jhoñkā havā thā

    sāhil pe ke aap safīne jalā diye

    ye kaam bhī 'vasīm' hamārī anā thā

    Dar maut ka na KHauf kisi dewta ka tha

    wo fath-yab yun tha ki banda KHuda ka tha

    pahle bhi hadsat hue zindagi ke sath

    lekin jo aaj dekha wo manzar bala ka tha

    lo wo bhi gir gaya mere aangan ka peD aaj

    har waqt jis se aasra taza hawa ka tha

    sun kar jise pahaDon ke sine dahal gae

    ye bhi karishma dosto apni sada ka tha

    tufan se bach nikalne ki surat na thi koi

    ye faiz meri man ke hi dast-e-dua ka tha

    tum bhi bhula do tark-e-talluq ka waqia

    hum bhi ye soch lenge ki jhonka hawa ka tha

    sahil pe la ke aap safine jala diye

    ye kaam bhi 'wasim' hamari ana ka tha

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 797)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now