dar-parda-e-tuyur chahak bhi usi ki hai
dar-parda-e-tuyūr chahak bhī usī kī hai
phūloñ ke bhes meñ ye mahak bhī usī kī hai
kab tak bahār rakkhe chaman-zār-e-zindagī
shāḳh-e-badan usī kī lachak bhī usī kī hai
ham bhī usī ke ho ga.e yādeñ bhī jis kī haiñ
yādoñ ke andarūn kasak bhī usī kī hai
har zarre ko sikhā.ī hai jis ne musavvirī
ā.īna-e-jamāl jhalak bhī usī kī hai
chālāk dil to ho nahīñ saktā thā yuuñ shikār
qaus-o-quzah usī kī dhanak bhī usī kī hai
dil ke har ek goshe meñ taskīn jis se hai
har kūcha-e-jigar meñ khaTak bhī usī kī hai
ai dil na be-qarār ho paa.el kī chaap se
pāzeb jis ke naam khanak bhī usī kī hai
harkāre us ke hī to haiñ dar-rāh-e-jism-o-jāñ
ik ik nazar nigāh talak bhī usī kī hai
jis ke karam ne 'sānī' ko baḳhshī haiñ jur.ateñ
iz.hār-e-mudda'ā meñ jhijak bhī usī kī hai
dar-parda-e-tuyur chahak bhi usi ki hai
phulon ke bhes mein ye mahak bhi usi ki hai
kab tak bahaar rakkhe chaman-zar-e-zindagi
shaKH-e-badan usi ki lachak bhi usi ki hai
hum bhi usi ke ho gae yaaden bhi jis ki hain
yaadon ke andarun kasak bhi usi ki hai
har zarre ko sikhai hai jis ne musawwiri
aaina-e-jamal jhalak bhi usi ki hai
chaalak dil to ho nahin sakta tha yun shikar
qaus-o-quzah usi ki dhanak bhi usi ki hai
dil ke har ek goshe mein taskin jis se hai
har kucha-e-jigar mein khaTak bhi usi ki hai
ai dil na be-qarar ho pael ki chap se
pazeb jis ke nam khanak bhi usi ki hai
harkare us ke hi to hain dar-rah-e-jism-o-jaan
ek ek nazar nigah talak bhi usi ki hai
jis ke karam ne 'sani' ko baKHshi hain juraten
izhaar-e-mudda'a mein jhijak bhi usi ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.