Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dar talak aa ke Tuk aawaz suna jao ji

Mushafi Ghulam Hamdani

dar talak aa ke Tuk aawaz suna jao ji

Mushafi Ghulam Hamdani

MORE BYMushafi Ghulam Hamdani

    dar talak aa ke Tuk āvāz sunā jaao

    apne mushtāq ko itnā bhī na tarsāo

    ġhair ke saath se bhāge hai mujhe dekh to maiñ

    us se kahtā huuñ ki us ko tumhī Thahrāo

    maiñ jo ik roz bulāyā unheñ ghar jaate dekh

    paas aa baiTh ke kahne lage farmāo

    shāna kyā zulf-e-pareshāñ meñ karo ho baiThe

    apne uljhe hue bāloñ ko to suljhāo

    zānū-e-ġhair pe shab sar na rakhā thā tum ne

    jaao jhūTī na mire sar qasam khaao

    mujh se kyā pūchho ho kyā meñ tire hai sach kah

    hai jo kuchh meñ mire tum samajh jaao

    raat añdherī hai chale aao mire ghar chhup kar

    aa ke phir chāñd mukhḌā mujhe dikhlāo

    ishq meñ hote haiñ myāñ-'mus.hafī' sau tarah ke ġham

    go ġham-e-hijr hai itnā bhī na ghabrāo

    dar talak aa ke Tuk aawaz suna jao ji

    apne mushtaq ko itna bhi na tarsao ji

    ghair ke sath se bhage hai mujhe dekh to main

    us se kahta hun ki us ko tumhi Thahrao ji

    main jo ek roz bulaya unhen ghar jate dekh

    pas aa baiTh ke kahne lage farmao ji

    shana kya zulf-e-pareshan mein karo ho baiThe

    apne uljhe hue baalon ko to suljhao ji

    zanu-e-ghair pe shab sar na rakha tha tum ne

    jao jhuTi na mere sar ki qasam khao ji

    mujh se kya puchho ho kya ji mein tere hai sach kah

    hai jo kuchh ji mein mere tum hi samajh jao ji

    raat andheri hai chale aao mere ghar chhup kar

    aa ke phir chand sa mukhDa mujhe dikhlao ji

    ishq mein hote hain myan-'mushafi' sau tarah ke gham

    go gham-e-hijr hai itna bhi na ghabrao ji

    Source:

    kulliyat-e-mas.hafii(divan-e-soom) (Pg. 264)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now