Dara saki na tawahhum ki tirgi mujhko
Darā sakī na tavahhum kī tīrgī mujh ko
milī charāġh-e-yaqīñ se vo raushnī mujh ko
hayāt taptī rahī ġham ke sho'la-zāroñ meñ
kisī ke pyaar kī shabnam na mil sakī mujh ko
ghaTā siyāh sahī rok luuñ qadam kyūñkar
ghaTā ke paar bulātī hai chāñdnī mujh ko
milā hai mujh se ujālā kisī ko ashkoñ kā
kisī ne dī hai tabassum kī chāñdnī mujh ko
jalā ke dil kā diyā rāste sañvār diye
na dī jo chāñd-sitāroñ ne raushnī mujh ko
jalā ke 'sham’’ jigar ātish-e-shab-e-hijrāñ
batā hī detī hai mafhūm-e-zindagī mujh ko
Dara saki na tawahhum ki tirgi mujh ko
mili charagh-e-yaqin se wo raushni mujh ko
hayat tapti rahi gham ke sho'la-zaron mein
kisi ke pyar ki shabnam na mil saki mujh ko
ghaTa siyah sahi rok lun qadam kyunkar
ghaTa ke par bulati hai chandni mujh ko
mila hai mujh se ujala kisi ko ashkon ka
kisi ne di hai tabassum ki chandni mujh ko
jala ke dil ka diya raste sanwar diye
na di jo chand-sitaron ne raushni mujh ko
jala ke 'sham’’ jigar aatish-e-shab-e-hijran
bata hi deti hai mafhum-e-zindagi mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.