dararen baam-o-dar ki paDh rahe hain
darāreñ bām-o-dar kī paḌh rahe haiñ
kitābeñ apne ghar kī paḌh rahe haiñ
kahānī to safar kī paḌh rahe haiñ
haqīqat rahguzar kī paḌh rahe haiñ
laboñ par hai qasīda āsmāñ kā
ḳharāsheñ bāl-o-par kī paḌh rahe haiñ
bichhā kar apnā chehra aa.ine meñ
'ibārat us nazar kī paḌh rahe haiñ
koī din se fazāoñ meñ idhar kī
na.ī tahrīr udhar kī paḌh rahe haiñ
ġhubār-e-rāh meñ ham jaise-taise
nigāheñ rāhbar kī paḌh rahe haiñ
kitāb-e-dil ke ḳhālī hāshiye par
'ibārat apne sar kī paḌh rahe haiñ
hameñ kaisā maraz achchhā rahegā
nigāheñ chārāgar kī paḌh rahe haiñ
dararen baam-o-dar ki paDh rahe hain
kitaben apne ghar ki paDh rahe hain
kahani to safar ki paDh rahe hain
haqiqat rahguzar ki paDh rahe hain
labon par hai qasida aasman ka
KHarashen baal-o-par ki paDh rahe hain
bichha kar apna chehra aaine mein
'ibarat us nazar ki paDh rahe hain
koi din se fazaon mein idhar ki
nai tahrir udhar ki paDh rahe hain
ghubar-e-rah mein hum jaise-taise
nigahen rahbar ki paDh rahe hain
kitab-e-dil ke KHali hashiye par
'ibarat apne sar ki paDh rahe hain
hamein kaisa maraz achchha rahega
nigahen chaaragar ki paDh rahe hain
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 45)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.