darbar-e-shah mein na yun sar ko jhuka ke baiTh
darbār-e-shāh meñ na yuuñ sar ko jhukā ke baiTh
ai dost uTh faqīr kī mahfil meñ aa ke baiTh
mat ro guzār dhuup ko bādal kī oT se
ban jā.egī dhanak to zarā muskurā ke baiTh
paate haiñ māhtāb kī lau se miThās phal
nādān us kī nazroñ se nazreñ milā ke baiTh
chehra agar hai aa.ina to aañkh jhiil hai
har 'aks meñ ḳhulūs kā manzar sajā ke baiTh
jab āstīñ ke saañp kā Dasnā sarisht hai
phir tū bhī āstīn meñ ḳhanjar chhupā ke baiTh
kaisī havā chalī hai ki raqsāñ hai phuul phuul
thoḌī sī bhī hayā ho to āñkheñ churā ke baiTh
iblīs kī bisāt pe shatranj khel jā
bātil kā mohra nā’ra-e-haq se girā ke baiTh
mātam kā silsila na ruke bā'd-e-marg bhī
merī lahad pe bulbul-e-ranjīda aa ke baiTh
alfāz be-ma'ānī haiñ kuchh zindagī meñ 'zain'
jo uTh ga.e haiñ nuqte mukarrar biThā ke baiTh
darbar-e-shah mein na yun sar ko jhuka ke baiTh
ai dost uTh faqir ki mahfil mein aa ke baiTh
mat ro guzar dhup ko baadal ki oT se
ban jaegi dhanak to zara muskura ke baiTh
pate hain mahtab ki lau se miThas phal
nadan us ki nazron se nazren mila ke baiTh
chehra agar hai aaina to aankh jhil hai
har 'aks mein KHulus ka manzar saja ke baiTh
jab aastin ke sanp ka Dasna sarisht hai
phir tu bhi aastin mein KHanjar chhupa ke baiTh
kaisi hawa chali hai ki raqsan hai phul phul
thoDi si bhi haya ho to aankhen chura ke baiTh
iblis ki bisat pe shatranj khel ja
baatil ka mohra na’ra-e-haq se gira ke baiTh
matam ka silsila na ruke ba'd-e-marg bhi
meri lahad pe bulbul-e-ranjida aa ke baiTh
alfaz be-ma'ani hain kuchh zindagi mein 'zain'
jo uTh gae hain nuqte mukarrar biTha ke baiTh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.