dard aisa hai ki har mu-e-badan kanpta hai

dard aisa hai ki har mu-e-badan kanpta hai
Muzaffar Ahmad Muzaffar
MORE BYMuzaffar Ahmad Muzaffar
dard aisā hai ki har mū-e-badan kāñptā hai
aah bhartā huuñ to āhū-e-ḳhutan kāñptā hai
kyoñ zamīñ terī nahīñ hotī numū-āmāda
qaht-sālī se yahāñ fard-e-vatan kāñptā hai
dast-āmoz parindoñ ne bhī hijrat kar lī
barq aisī hai ki har murġh-e-chaman kāñptā hai
koī tasvīr ke parde se bulātā hai mujhe
paas jā.ūñ to vo shah-pāra-e-fan kāñptā hai
chup kī dīvār girā duuñ na taḳhātub se kahīñ
zabt-e-guftār se ab merā dahan kāñptā hai
chāh-e-kan’āñ se nikal aaya huuñ yūsuf kī tarah
kyoñ zuleḳhā kā magar chāh-e-zaqan kāñptā hai
apnā uslūb zamāne se judā hai shāyad
she'r suntā hai to har sāhib-e-fan kāñptā hai
garche kholā bhī nahīñ tū ne abhī bāb-e-suḳhan
kyā qayāmat hai 'muzaffar' ki dakan kāñptā hai
dard aisa hai ki har mu-e-badan kanpta hai
aah bharta hun to aahu-e-KHutan kanpta hai
kyon zamin teri nahin hoti numu-amada
qaht-sali se yahan fard-e-watan kanpta hai
dast-amoz parindon ne bhi hijrat kar li
barq aisi hai ki har murgh-e-chaman kanpta hai
koi taswir ke parde se bulata hai mujhe
pas jaun to wo shah-para-e-fan kanpta hai
chup ki diwar gira dun na taKHatub se kahin
zabt-e-guftar se ab mera dahan kanpta hai
chah-e-kan’an se nikal aaya hun yusuf ki tarah
kyon zuleKHa ka magar chah-e-zaqan kanpta hai
apna uslub zamane se juda hai shayad
she'r sunta hai to har sahib-e-fan kanpta hai
garche khola bhi nahin tu ne abhi bab-e-suKHan
kya qayamat hai 'muzaffar' ki dakan kanpta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.