dard-e-dil bhi gham-e-dauran ke barabar se uTha

Mustafa Zaidi

dard-e-dil bhi gham-e-dauran ke barabar se uTha

Mustafa Zaidi

MORE BYMustafa Zaidi

  dard-e-dil bhī ġham-e-daurāñ ke barābar se uThā

  aag sahrā meñ lagī aur dhuāñ ghar se uThā

  tābish-e-husn bhī thī ātish-e-duniyā bhī magar

  sho.ala jis ne mujhe phūñkā mire andar se uThā

  kisī mausam faqīroñ ko zarūrat na rahī

  aag bhī abr bhī tūfān bhī sāġhar se uThā

  be-sadaf kitne dariyāoñ se kuchh bhī na huā

  bojh qatre thā aisā ki samundar se uThā

  chāñd se shikva-ba-lab huuñ ki sulāyā kyuuñ thā

  maiñ ki ḳhurshīd-e-jahāñ-tāb Thokar se uThā

  dard-e-dil bhi gham-e-dauran ke barabar se uTha

  aag sahra mein lagi aur dhuan ghar se uTha

  tabish-e-husn bhi thi aatish-e-duniya bhi magar

  shoala jis ne mujhe phunka mere andar se uTha

  kisi mausam ki faqiron ko zarurat na rahi

  aag bhi abr bhi tufan bhi saghar se uTha

  be-sadaf kitne hi dariyaon se kuchh bhi na hua

  bojh qatre ka tha aisa ki samundar se uTha

  chand se shikwa-ba-lab hun ki sulaya kyun tha

  main ki KHurshid-e-jahan-tab ki Thokar se uTha

  Videos
  This video is playing from YouTube

  Videos
  This video is playing from YouTube

  Abida Parveen

  Abida Parveen

  Source :
  • Book : qabaa-e-saaz

  This content features in following collection(s)

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 2-3-4 December 2022 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate, New Delhi

  GET YOUR FREE PASS
  Speak Now