dard-e-dil zaKHm-e-jigar par koi
dard-e-dil zaḳhm-e-jigar par koī
ik ġhazal aur suḳhanvar koī
chaap suntā huuñ musalsal dil meñ
saath mere hai barābar koī
koī dekhe to nihāre pahroñ
ruup hai yā ki samundar koī
jaise qatre meñ samā.e dariyā
aise simTā hai bikhar kar koī
saarī ḳhushbū thī parā.ī ḳhushbū
ham ko rakhtā thā mo'attar koī
ham ko karnī haiñ bahut sī bāteñ
paas baiThe to ghaḌī bhar koī
apnā paiġhām sunā le ḳhud ko
ab na aa.egā payambar koī
dard-e-dil zaKHm-e-jigar par koi
ek ghazal aur suKHanwar koi
chap sunta hun musalsal dil mein
sath mere hai barabar koi
koi dekhe to nihaare pahron
rup hai ya ki samundar koi
jaise qatre mein samae dariya
aise simTa hai bikhar kar koi
sari KHushbu thi parai KHushbu
hum ko rakhta tha mo'attar koi
hum ko karni hain bahut si baaten
pas baiThe to ghaDi bhar koi
apna paigham suna le KHud ko
ab na aaega payambar koi
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 101)
- Author :Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.