dard had se jo guzar jae chhalak jaunga
dard had se jo guzar jaa.e chhalak jā.ūñgā
ashk ban kar tirī āñkhoñ se Tapak jā.ūñgā
mirī āñkhoñ meñ to rahte haiñ sharāre phir bhī
ban ke angāra kisī roz dahak jā.ūñgā
pyaar se zahr bhī mil jaa.e to pī luuñ hañs kar
phuul nafrat se mileñge to sanak jā.ūñgā
vo bulandī hī kyā jo aañkh se ojhal kar de
itnī ūñchā.ī pe pahuñchūñ to bhaTak jā.ūñgā
jo mire dil ke añdheroñ ko nigal bhī na sake
un charāġhoñ ke ujāloñ se khisak jā.ūñgā
ye tamanna maiñ shab-o-roz liye phirtā huuñ
kaash tū mujh ko jo chhū le to mahak jā.ūñgā
maañd paḌ jā.egī 'irfān' tajallī sab kī
ban ke sūraj jo zamāne meñ damak jā.ūñgā
dard had se jo guzar jae chhalak jaunga
ashk ban kar teri aankhon se Tapak jaunga
meri aankhon mein to rahte hain sharare phir bhi
ban ke angara kisi roz dahak jaunga
pyar se zahr bhi mil jae to pi lun hans kar
phul nafrat se milenge to sanak jaunga
wo bulandi hi kya jo aankh se ojhal kar de
itni unchai pe pahunchun to bhaTak jaunga
jo mere dil ke andheron ko nigal bhi na sake
un charaghon ke ujalon se khisak jaunga
ye tamanna main shab-o-roz liye phirta hun
kash tu mujh ko jo chhu le to mahak jaunga
mand paD jaegi 'irfan' tajalli sab ki
ban ke suraj jo zamane mein damak jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.