dard hai pattharon ke sinon mein
dard hai pattharoñ ke sīnoñ meñ
paḌ ga.e baal ābgīnoñ meñ
jeb vaale bhī kitne nādāñ haiñ
saañp rakhte haiñ āstīnoñ meñ
merī titlī-navāz fitrat ne
gul khilāyā hai nāznīnoñ meñ
āsmāñ marhamī sulūk kare
zaḳhm ugne lage zamīnoñ meñ
sho.ale bhaḌke haiñ ḳhuun barse haiñ
sabz barsāt ke mahīnoñ meñ
apnī pahchān ik pahelī thī
maiñ bhī shāmil thā be-yaqīnoñ meñ
chhoḌ jā.eñge tāliyoñ ke evaz
kuchh karishme tamāsh-bīnoñ meñ
jism saa.e meñ ḳhushk karne ko
muddatoñ tar hue pasīnoñ meñ
ḳhvāhishoñ kī baġhāvateñ mat pūchh
zindagī qaid hai mashīnoñ meñ
ghar meñ tīra-shabī kā mātam hai
maiñ daraḳhshāñ huuñ ham-nashīnoñ meñ
dard hai pattharon ke sinon mein
paD gae baal aabginon mein
jeb wale bhi kitne nadan hain
sanp rakhte hain aastinon mein
meri titli-nawaz fitrat ne
gul khilaya hai nazninon mein
aasman marhami suluk kare
zaKHm ugne lage zaminon mein
shoale bhaDke hain KHun barse hain
sabz barsat ke mahinon mein
apni pahchan ek paheli thi
main bhi shamil tha be-yaqinon mein
chhoD jaenge taliyon ke ewaz
kuchh karishme tamash-binon mein
jism sae mein KHushk karne ko
muddaton tar hue pasinon mein
KHwahishon ki baghawaten mat puchh
zindagi qaid hai mashinon mein
ghar mein tira-shabi ka matam hai
main daraKHshan hun ham-nashinon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.