dard ki daulat na kar taqsim rona chhoD de
dard kī daulat na kar taqsīm ronā chhoḌ de
rakh nahīñ saktā anā qaa.em to duniyā chhoḌ de
roz ek jhūTī tasallī dil ko denā chhoḌ de
mujh ko yādoñ ke shabistāñ meñ akelā chhoḌ de
ham ko qaa.il kar sake to lā koī aisī dalīl
yā hamāre sāmne tū bahs karnā chhoḌ de
muḳhlisāna raa.e bhī merī tarah detā hai kaun
jhuuT ko sach aur sach ko jhuuT kahnā chhoḌ de
baat ye 'fahmī' samajh se kyoñ tumhārī duur hai
rahnumā aisā nahīñ hotā jo tanhā chhoḌ de
dard ki daulat na kar taqsim rona chhoD de
rakh nahin sakta ana qaem to duniya chhoD de
roz ek jhuTi tasalli dil ko dena chhoD de
mujh ko yaadon ke shabistan mein akela chhoD de
hum ko qail kar sake to la koi aisi dalil
ya hamare samne tu bahs karna chhoD de
muKHlisana rae bhi meri tarah deta hai kaun
jhuT ko sach aur sach ko jhuT kahna chhoD de
baat ye 'fahmi' samajh se kyon tumhaari dur hai
rahnuma aisa nahin hota jo tanha chhoD de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.