dard ki dhup gham ke sae hain
dard kī dhuup ġham ke saa.e haiñ
ham bhī kaise nagar meñ aa.e haiñ
zindagī tujh se ġham hī paa.e haiñ
naaz phir bhī tire uThā.e haiñ
āñdhiy.oñ meñ raheñge kyā baaqī
kāġhazoñ ke jo ghar banā.e haiñ
apne dar se na pher yuuñ ham ko
tujh ko apnā samajh ke aa.e haiñ
dil ko dete rahe jo dukh har dam
kaise kah duuñ ki vo parā.e haiñ
vo ghaḌī thī ghaḌī qayāmat kī
merī hastī pe jis ke saa.e haiñ
log kahte nahīñ yahāñ varna
bojh dil par sabhī uThā.e haiñ
dard ki dhup gham ke sae hain
hum bhi kaise nagar mein aae hain
zindagi tujh se gham hi pae hain
naz phir bhi tere uThae hain
aandhiyon mein rahenge kya baqi
kaghazon ke jo ghar banae hain
apne dar se na pher yun hum ko
tujh ko apna samajh ke aae hain
dil ko dete rahe jo dukh har dam
kaise kah dun ki wo parae hain
wo ghaDi thi ghaDi qayamat ki
meri hasti pe jis ke sae hain
log kahte nahin yahan warna
bojh dil par sabhi uThae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.