dard mile to ranj hi kya hai
dard mile to ranj hī kyā hai
dard bhī dil kī ek davā hai
jis ne mujh ko dard diyā hai
us ne to ehsān kiyā hai
us ko jab tak dekh na luuñ maiñ
dil ko sukūn kahāñ miltā hai
raat guzarne vaalī hai jī
dil kā ġhubār nahīñ niklā hai
dil kā bartan jab se TuuTā
paanī aañkh meñ bhar rakhtā hai
maiñ kab tak mad.hosh rahūñgā
un āñkhoñ se jaam piyā hai
saare taare dekh rahe haiñ
chandā mujh ko ghuur rahā hai
kitne log the dil meñ sāhib
ab to dil vīrān paḌā hai
yādoñ kī bārish meñ 'sādiq'
kab se baiThā bhiig rahā hai
dard mile to ranj hi kya hai
dard bhi dil ki ek dawa hai
jis ne mujh ko dard diya hai
us ne to ehsan kiya hai
us ko jab tak dekh na lun main
dil ko sukun kahan milta hai
raat guzarne wali hai ji
dil ka ghubar nahin nikla hai
dil ka bartan jab se TuTa
pani aankh mein bhar rakhta hai
main kab tak madhosh rahunga
un aankhon se jam piya hai
sare tare dekh rahe hain
chanda mujh ko ghur raha hai
kitne log the dil mein sahib
ab to dil viran paDa hai
yaadon ki barish mein 'sadiq'
kab se baiTha bhig raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.