dard-o-alam ka maskan ab Dhah nahin sakega
dard-o-alam kā maskan ab Dhah nahīñ sakegā
āñkhoñ kā ḳhushk paanī ab bah nahīñ sakegā
jaañ par kiyā hai qabza sam'-o-basar bhī le lo
tum ko ḳharāsh aa.e dil sah nahīñ sakegā
fikr-e-ma'āsh kyā hai tū jaan legā ai dil
dam toḌtā tirā ghar jab rah nahīñ sakegā
jis ke liye gañvāyā sab kuchh 'rafīq' tū ne
lekin vo tere haq meñ kuchh keh nahīñ sakegā
dard-o-alam ka maskan ab Dhah nahin sakega
aankhon ka KHushk pani ab bah nahin sakega
jaan par kiya hai qabza sam'-o-basar bhi le lo
tum ko KHarash aae dil sah nahin sakega
fikr-e-ma'ash kya hai tu jaan lega ai dil
dam toDta tera ghar jab rah nahin sakega
jis ke liye ganwaya sab kuchh 'rafiq' tu ne
lekin wo tere haq mein kuchh keh nahin sakega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.