Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dard se agar rishta dost ka nikal aae

Nazmi Sikandrabadi

dard se agar rishta dost ka nikal aae

Nazmi Sikandrabadi

MORE BYNazmi Sikandrabadi

    dard se agar rishta dost nikal aa.e

    ġham meñ muskurāne rāsta nikal aa.e

    sach se ik ta.alluq hai har hasīn kāvish

    har kahānī mumkin hai vāqi.a nikal aa.e

    koThiyoñ meñ niklegā aadmī bhī mushkil se

    jhoñpaḌoñ meñ mumkin hai devtā nikal aa.e

    vaqt ne badal Daalā zindagī qadroñ ko

    dost kyā the kal apne aaj kyā nikal aa.e

    sochne agar baiTheñ un zulf-e-barham se

    daar tak mohabbat silsila nikal aa.e

    le chalā hai dil lekin baat jab hai bin TuuTe

    pattharoñ bastī se aa.ina nikal aa.e

    umr bhar mile jin se muskurā ke ham 'nazmī'

    vo bhī dil ke zaḳhmoñ se āshnā nikal aa.e

    dard se agar rishta dost ka nikal aae

    gham mein muskurane ka rasta nikal aae

    sach se ek talluq hai har hasin kawish ka

    har kahani mumkin hai waqia nikal aae

    koThiyon mein niklega aadmi bhi mushkil se

    jhonpaDon mein mumkin hai dewta nikal aae

    waqt ne badal Dala zindagi ki qadron ko

    dost kya the kal apne aaj kya nikal aae

    sochne agar baiThen un ki zulf-e-barham se

    dar tak mohabbat ka silsila nikal aae

    le chala hai dil lekin baat jab hai bin TuTe

    pattharon ki basti se aaina nikal aae

    umr bhar mile jin se muskura ke hum 'nazmi'

    wo bhi dil ke zaKHmon se aashna nikal aae

    Source:

    Hisar-e-Fikr (Pg. 44)

    • Author: Nazmi Sikandrabadi
      • Publisher: Urdu Academy, Delhi
      • Year of Publication: 1995
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now