dariya-e-KHun se apne guzarne ka tajraba
dariyā-e-ḳhūñ se apne guzarne kā tajraba
hotā hai kaisā jiite jī marne kā tajraba
ham aadmī kī shakl meñ haivān hī rahe
bekār thā hamāre sañvarne kā tajraba
har lamha ḳhatm hotī huī zindagī meñ bhī
hotā nahīñ sabhī ko bikharne kā tajraba
tahrīk us kī diid se thī is badan meñ ḳhaas
ham ne kiyā hai jo na thā karne kā tajraba
sab nekiyāñ hamārī tahoñ meñ utar ga.iiñ
pūchho na ham se kyā hai utarne kā tajraba
dariya-e-KHun se apne guzarne ka tajraba
hota hai kaisa jite ji marne ka tajraba
hum aadmi ki shakl mein haiwan hi rahe
bekar tha hamare sanwarne ka tajraba
har lamha KHatm hoti hui zindagi mein bhi
hota nahin sabhi ko bikharne ka tajraba
tahrik us ki did se thi is badan mein KHas
hum ne kiya hai jo na tha karne ka tajraba
sab nekiyan hamari tahon mein utar gain
puchho na hum se kya hai utarne ka tajraba
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 105)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.