dariya-e-mohabbat mein utar kar nahin aate
dariyā-e-mohabbat meñ utar kar nahīñ aate
lagtā hai unheñ 'ishq ke tevar nahīñ aate
jo log mire qad ke barābar nahīñ aate
vo log mire sāmne aksar nahīñ aate
kar dete haiñ vo lafzoñ se hī ḳhūn-e-tamannā
le kar vo kabhī haath meñ ḳhanjar nahīñ aate
kaliyoñ pe udāsī hai to phūloñ meñ hai ātish
gulshan meñ nazar pahle se manzar nahīñ aate
ye jurm-e-mohabbat kī sazā hai mujhe varna
qismat meñ mirī dard ke lashkar nahīñ aate
hāthoñ pe agar haath dhare baiThe rahoge
aise meñ natīje kabhī behtar nahīñ aate
ik baar hameñ dekh ke ruḳh pher liyā thā
ab un kī galī se bhī guzar kar nahīñ aate
takte the jharokhoñ se mirī raah kabhī jo
ab mere guzarne pe vo bāhar nahīñ aate
duniyā ko badal dene kā karte haiñ vo dā'vā
jo log gharoñ se kabhī bāhar nahīñ aate
vo pūchhte rahte haiñ mohabbat ke savālāt
ik ham haiñ ki ham se koī uttar nahīñ aate
ye daur hai taknīk kā is daur meñ 'sho.aib'
laḌne ke liye sāmne lashkar nahīñ aate
dariya-e-mohabbat mein utar kar nahin aate
lagta hai unhen 'ishq ke tewar nahin aate
jo log mere qad ke barabar nahin aate
wo log mere samne aksar nahin aate
kar dete hain wo lafzon se hi KHun-e-tamanna
le kar wo kabhi hath mein KHanjar nahin aate
kaliyon pe udasi hai to phulon mein hai aatish
gulshan mein nazar pahle se manzar nahin aate
ye jurm-e-mohabbat ki saza hai mujhe warna
qismat mein meri dard ke lashkar nahin aate
hathon pe agar hath dhare baiThe rahoge
aise mein natije kabhi behtar nahin aate
ek bar hamein dekh ke ruKH pher liya tha
ab un ki gali se bhi guzar kar nahin aate
takte the jharokhon se meri rah kabhi jo
ab mere guzarne pe wo bahar nahin aate
duniya ko badal dene ka karte hain wo da'wa
jo log gharon se kabhi bahar nahin aate
wo puchhte rahte hain mohabbat ke sawalat
ek hum hain ki hum se koi uttar nahin aate
ye daur hai taknik ka is daur mein 'shoaib'
laDne ke liye samne lashkar nahin aate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.