Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Darta hun arz-e-haal se dhoka na ho kahin

Mohammad Wilayatullah

Darta hun arz-e-haal se dhoka na ho kahin

Mohammad Wilayatullah

MORE BYMohammad Wilayatullah

    Dartā huuñ arz-e-hāl se dhokā na ho kahīñ

    vo ruuTh jaa.eñ aur bhī aisā na ho kahīñ

    kab tak talāsh dil karūñ aur kahāñ kahāñ

    zulfoñ meñ dekh lījiye uljhā na ho kahīñ

    qāsid mire makāñ taraf se gayā jo aaj

    hotā hai shak mujhe ki bulāyā na ho kahīñ

    ho jaa.e jal ke ḳhaak na ḳhud ye mirā vajūd

    Dartā huuñ aah asar ulTā na ho kahīñ

    dil le ke apne paas bulā.eñ vo kis liye

    ye bhī to sochte haiñ taqāzā na ho kahīñ

    ai shaiḳh terī baat kyā e'tibār ho

    parde meñ is abā ke bhī duniyā na ho kahīñ

    muddat huī ki dil ko qarār-o-sukūñ nahīñ

    phirtā hai jaise is Thikānā na ho kahīñ

    un marīz-e-ġham hai ka.ī din se jāñ-ba-lab

    vo dil meñ sochte haiñ bahāna na ho kahīñ

    kū-e-butāñ meñ terā guzar hai jo baar baar

    ai dil aisī bātoñ se rusvā na ho kahīñ

    'hāfiz' chashm-e-tar pe nazar chāhiye zarūr

    ye tār-e-ashk dekhiye dariyā na ho kahīñ

    Darta hun arz-e-haal se dhoka na ho kahin

    wo ruTh jaen aur bhi aisa na ho kahin

    kab tak talash dil ki karun aur kahan kahan

    zulfon mein dekh lijiye uljha na ho kahin

    qasid mere makan ki taraf se gaya jo aaj

    hota hai shak mujhe ki bulaya na ho kahin

    ho jae jal ke KHak na KHud ye mera wajud

    Darta hun aah ka asar ulTa na ho kahin

    dil le ke apne pas bulaen wo kis liye

    ye bhi to sochte hain taqaza na ho kahin

    ai shaiKH teri baat ka kya e'tibar ho

    parde mein is aba ke bhi duniya na ho kahin

    muddat hui ki dil ko qarar-o-sukun nahin

    phirta hai jaise is ka Thikana na ho kahin

    un ka mariz-e-gham hai kai din se jaan-ba-lab

    wo dil mein sochte hain bahana na ho kahin

    ku-e-butan mein tera guzar hai jo bar bar

    ai dil tu aisi baaton se ruswa na ho kahin

    'hafiz' ki chashm-e-tar pe nazar chahiye zarur

    ye tar-e-ashk dekhiye dariya na ho kahin

    Source:

    Soz-o-gudaaz (Pg. B-57 E-53)

    • Author: Mohammad Wilayatullah
      • Edition: 1941
      • Publisher: Mohammad Wilayatullah
      • Year of Publication: 1941
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now