darun mein intishaar bhi nahin raha
darūñ meñ intishār bhī nahīñ rahā
kisī kā e'tibār bhī nahīñ rahā
ye kis tarah kā vasl apne biich hai
tujhe mujhe nikhār bhī nahīñ rahā
dil apnī mushkiloñ meñ ḳhud-kafīl hai
ḳhudāoñ ko pukār bhī nahīñ rahā
kabhī thī merī guftugū bhī shā'irī
magar vo iḳhtisār bhī nahīñ rahā
vo uñgliyāñ bhī dā.eroñ meñ kho ga.iiñ
vo giit vo sitār bhī nahīñ rahā
darun mein intishaar bhi nahin raha
kisi ka e'tibar bhi nahin raha
ye kis tarah ka wasl apne bich hai
tujhe mujhe nikhaar bhi nahin raha
dil apni mushkilon mein KHud-kafil hai
KHudaon ko pukar bhi nahin raha
kabhi thi meri guftugu bhi sha'iri
magar wo iKHtisar bhi nahin raha
wo ungliyan bhi daeron mein kho gain
wo git wo sitar bhi nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.