dasht mein KHak uDane se kahan tak bachte
dasht meñ ḳhaak uḌāne se kahāñ tak bachte
ham tirā hijr manāne se kahāñ tak bachte
itne pur-lutf ishāre the tire lafzoñ meñ
ham tirī baat meñ aane se kahāñ tak bachte
jis se milte vo tijārat pe utar aatā thā
ḳhud ko bāzār banāne se kahāñ tak bachte
ham ne har jurm sar-e-bazm kiyā thā taslīm
log phir sang uThāne se kahāñ tak bachte
ham ko har taur zamāne se guzar karnā thā
ham bahar-hāl zamāne se kahāñ tak bachte
ham hī har baar hadaf ban ke chale aate the
tum bhī phir tiir chalāne se kahāñ tak bachte
ek din jaan gayā saarā zamāna jis ko
ḳhud ko vo baat batāne se kahāñ tak bachte
dasht mein KHak uDane se kahan tak bachte
hum tera hijr manane se kahan tak bachte
itne pur-lutf ishaare the tere lafzon mein
hum teri baat mein aane se kahan tak bachte
jis se milte wo tijarat pe utar aata tha
KHud ko bazar banane se kahan tak bachte
hum ne har jurm sar-e-bazm kiya tha taslim
log phir sang uThane se kahan tak bachte
hum ko har taur zamane se guzar karna tha
hum bahar-haal zamane se kahan tak bachte
hum hi har bar hadaf ban ke chale aate the
tum bhi phir tir chalane se kahan tak bachte
ek din jaan gaya sara zamana jis ko
KHud ko wo baat batane se kahan tak bachte
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 122)
- Author : Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.