dasht mein tanha hun lekin ruh aasani mein hai
dasht meñ tanhā huuñ lekin ruuh āsānī meñ hai
sochtā huuñ kis qadar taskīn vīrānī meñ hai
jis tasalsul se hamāre ashk bahte haiñ yahāñ
aañkh meñ paanī hai yā phir aañkh hī paanī meñ hai
ab hamāre baḳht raushan kar nahīñ saktā koī
haañ magar ik raushnī jo us kī peshānī meñ hai
sab mayassar hai magar dil par 'ajab sā bojh hai
lag rahā hai aaj jaise vo pareshānī meñ hai
kis tarah niklā bhañvar se kis tarah pahuñchā yahāñ
aaj tak us paar kā har shaḳhs hairānī meñ hai
dasht mein tanha hun lekin ruh aasani mein hai
sochta hun kis qadar taskin virani mein hai
jis tasalsul se hamare ashk bahte hain yahan
aankh mein pani hai ya phir aankh hi pani mein hai
ab hamare baKHt raushan kar nahin sakta koi
han magar ek raushni jo us ki peshani mein hai
sab mayassar hai magar dil par 'ajab sa bojh hai
lag raha hai aaj jaise wo pareshani mein hai
kis tarah nikla bhanwar se kis tarah pahuncha yahan
aaj tak us par ka har shaKHs hairani mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.