Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dast-e-nazuk se jo parde ko sanwara tumne

Jalee Amrohvi

dast-e-nazuk se jo parde ko sanwara tumne

Jalee Amrohvi

MORE BYJalee Amrohvi

    dast-e-nāzuk se jo parde ko sañvārā tum ne

    maiñ ye samjhā ki navāzish se pukārā tum ne

    kyā haqīqat meñ ġham-e-ishq se mānūs hue

    yuuñ pūchh liyā haal hamārā tum ne

    mere maktūb-e-mohabbat mujhe vāpas de kar

    kar to hai ye mohabbat bhī gavārā tum ne

    nsibatan aaj hijāboñ meñ izāfa kaisā

    ġhāliban jaan liyā dil ishārā tum ne

    daur-e-māzī ke hasīñ giit sunā kar aksar

    aur bhī dard-e-mohabbat ko nikhārā tum ne

    rafta rafta na bhaḌak jaa.e vo sho.ala ban kar

    rakh diyā hai jo mire dil meñ sharāra tum ne

    haif-sad-haif ki duniyā-e-tarab meñ kho kar

    kar liyā dard ke māroñ se kinārā tum ne

    ashk kahte haiñ ki paḌh paḌh ke 'jalī' ġhazleñ

    dil meñ mahsūs kiyā dard dhārā tum ne

    dast-e-nazuk se jo parde ko sanwara tum ne

    main ye samjha ki nawazish se pukara tum ne

    kya haqiqat mein gham-e-ishq se manus hue

    ya yun hi puchh liya haal hamara tum ne

    mere maktub-e-mohabbat mujhe wapas de kar

    kar li to hai ye mohabbat bhi gawara tum ne

    nsibatan aaj hijabon mein izafa kaisa

    ghaaliban jaan liya dil ka ishaara tum ne

    daur-e-mazi ke hasin git suna kar aksar

    aur bhi dard-e-mohabbat ko nikhaara tum ne

    rafta rafta na bhaDak jae wo shoala ban kar

    rakh diya hai jo mere dil mein sharara tum ne

    haif-sad-haif ki duniya-e-tarab mein kho kar

    kar liya dard ke maron se kinara tum ne

    ashk kahte hain ki paDh paDh ke 'jali' ki ghazlen

    dil mein mahsus kiya dard ka dhaara tum ne

    Source:

    Shahr-e-Sukhan (Pg. 111)

    • Author: Jalee Amrohvi
      • Publisher: Anjuman Taqqi Pasand Ahl-e-Qalam, Karachi
      • Year of Publication: 2001
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now