dast-e-ta’zir chumne wale
dast-e-tā’zīr chūmne vaale
ham haiñ zanjīr chūmne vaale
ye haqīqat-pasand thoḌī haiñ
terī tasvīr chūmne vaale
rah gayā khel shāhzādī kā
mar ga.e tiir chūmne vaale
yuuñ dikhāte haiñ husn qātil kā
nok-e-shamshīr chūmne vaale
tere ḳhat ko shifā samajhte haiñ
terī tahrīr chūmne vaale
sirf bāteñ hī kar sakā rāñjhā
le ga.e hiir chūmne vaale
kyoñ kareñ jur.at-e-shikāyat bhī
dast-e-taqdīr chūmne vaale
us ke māthe ko chūmte haiñ 'zarīm'
māh-e-tanvīr chūmne vaale
dast-e-ta’zir chumne wale
hum hain zanjir chumne wale
ye haqiqat-pasand thoDi hain
teri taswir chumne wale
rah gaya khel shahzadi ka
mar gae tir chumne wale
yun dikhate hain husn qatil ka
nok-e-shamshir chumne wale
tere KHat ko shifa samajhte hain
teri tahrir chumne wale
sirf baaten hi kar saka ranjha
le gae hir chumne wale
kyon karen jurat-e-shikayat bhi
dast-e-taqdir chumne wale
us ke mathe ko chumte hain 'zarim'
mah-e-tanwir chumne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.