DaTe hain samne dushman ke is yaqin ke sath
DaTe haiñ sāmne dushman ke is yaqīn ke saath
hamārā rishta hai is paak sarzamīn ke saath
ḳhudā ke bandoñ kī sohbat ko iḳhtiyār karo
na joḌo apnā ta'alluq kisī la’īn ke saath
maiñ is liye bhī na.e dost ab banātā nahīñ
ki ḳhauf bāñdh ke rakkhā hai āstīn ke saath
zabāñ pe phuul magar dil meñ kufr ho jin ke
hamārā vāsta kyā un munāfiqīn ke saath
use bhulā nahīñ paa.e haiñ aaj tak dil se
chale the rāh-e-mohabbat meñ jis hasīn ke saath
ye mashvara hai mirā ahmaqoñ se duur raho
jo baiThnā hai to baiTho kisī zahīn ke saath
sitam-zarīf burā.ī bhī lipTī dāman se
nishān sajdoñ kā bhī hai tirī jabīn ke saath
bulandiyoñ pe pahuñch kar sadā.eñ duuñ 'shahzād'
mirī ye zid hai hamesha se hāsidīn ke saath
DaTe hain samne dushman ke is yaqin ke sath
hamara rishta hai is pak sarzamin ke sath
KHuda ke bandon ki sohbat ko iKHtiyar karo
na joDo apna ta'alluq kisi la’in ke sath
main is liye bhi nae dost ab banata nahin
ki KHauf bandh ke rakkha hai aastin ke sath
zaban pe phul magar dil mein kufr ho jin ke
hamara wasta kya un munafiqin ke sath
use bhula nahin pae hain aaj tak dil se
chale the rah-e-mohabbat mein jis hasin ke sath
ye mashwara hai mera ahmaqon se dur raho
jo baiThna hai to baiTho kisi zahin ke sath
sitam-zarif burai bhi lipTi daman se
nishan sajdon ka bhi hai teri jabin ke sath
bulandiyon pe pahunch kar sadaen dun 'shahzad'
meri ye zid hai hamesha se hasidin ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.