daulat-e-husn mujh par luTa dijiye
daulat-e-husn mujh par luTā dījiye
apne chehre se parda uThā dījiye
mere saaqī ko yā to bulā dījiye
varna sāġhar hī apnā thamā dījiye
gungunā dījiye muskurā dījiye
apne hoñToñ ko zahmat zarā dījiye
ahl-e-duniyā ko manzar dikhā dījiye
un abābīloñ ko phir bulā dījiye
ham ġharīboñ ko itnā batā dījiye
kaun muḳhlis yahāñ hai pata dījiye
aap munsif haiñ jo bhī sazā dījiye
jurm pahle to merā batā dījiye
laġhzishoñ ne hai pāmāl mujh ko kiyā
mere maulā mujhe hausla dījiye
kal isī jurm par aap ne dī sazā
dushman-e-dīn ko phir sazā dījiye
chaar qatroñ se saaqī bhalā hogā kyā
dījiye dījiye aur zarā dījiye
apne hāthoñ pe likh kar mirā naam vo
mujh se kahte haiñ 'ahras' miTā dījiye
daulat-e-husn mujh par luTa dijiye
apne chehre se parda uTha dijiye
mere saqi ko ya to bula dijiye
warna saghar hi apna thama dijiye
gunguna dijiye muskura dijiye
apne honTon ko zahmat zara dijiye
ahl-e-duniya ko manzar dikha dijiye
un ababilon ko phir bula dijiye
hum gharibon ko itna bata dijiye
kaun muKHlis yahan hai pata dijiye
aap munsif hain jo bhi saza dijiye
jurm pahle to mera bata dijiye
laghzishon ne hai pamal mujh ko kiya
mere maula mujhe hausla dijiye
kal isi jurm par aap ne di saza
dushman-e-din ko phir saza dijiye
chaar qatron se saqi bhala hoga kya
dijiye dijiye aur zara dijiye
apne hathon pe likh kar mera nam wo
mujh se kahte hain 'ahras' miTa dijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.