Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

de mohabbat to mohabbat mein asar paida kar

Bekhud Dehlvi

de mohabbat to mohabbat mein asar paida kar

Bekhud Dehlvi

MORE BYBekhud Dehlvi

    de mohabbat to mohabbat meñ asar paidā kar

    jo idhar dil meñ hai rab vo udhar paidā kar

    dūd-e-dil ishq meñ itnā to asar paidā kar

    sar kaTe sham.a mānind to sar paidā kar

    phir hamārā dil-e-gum-gashta bhī mil jā.egā

    pahle apnā dahan apnī kamar paidā kar

    kaam lene haiñ mohabbat meñ bahut se rab

    aur dil de hameñ ik aur jigar paidā kar

    tham zarā ai adam-ābād ke jaane vaale

    rah ke duniyā meñ abhī zād-e-safar paidā kar

    jhuuT jab bolte haiñ vo to duā hotī hai

    ilāhī mirī bātoñ meñ asar paidā kar

    ā.īna dekhnā is husn pe āsān nahīñ

    pesh-tar aañkh mirī merī nazar paidā kar

    sub.h-e-furqat to qayāmat sahar hai rab

    apne bandoñ ke liye aur sahar paidā kar

    mujh ko rotā huā dekheñ to jhulas jaa.eñ raqīb

    aag paanī meñ bhī ai soz-e-jigar paidā kar

    miT ke bhī dūri-e-gulshan nahīñ bhātī rab

    apnī qudrat se mirī ḳhaak meñ par paidā kar

    shikva-e-dard-e-judā.ī pe vo farmāte haiñ

    ranj sahne ko hamārā jigar paidā kar

    din nikalne ko hai rāhat se guzar jaane de

    ruuTh kar na qayāmat sahar paidā kar

    ham ne dekhā hai ki mil jaate haiñ laḌne vaale

    sulh ḳhū bhī to ai bāni-e-shar paidā kar

    mujh se ghar aane ke vaade par bigaḌ kar bole

    kah diyā ġhair ke dil meñ abhī ghar paidā kar

    mujh se kahtī hai kaḌak kar ye kamāñ qātil

    tiir ban jaa.e nishāna vo jigar paidā kar

    kyā qayāmat meñ bhī parda na uThegā ruḳh se

    ab to merī shab-e-yaldā sahar paidā kar

    dekhnā khel nahīñ jalva-e-dīdār tirā

    pahle muusā koī ahl-e-nazar paidā kar

    dil meñ bhī miltā hai vo kaaba bhī us hai maqām

    raah nazdīk ai azm-e-safar paidā kar

    zof hukm ye hai hoñT na hilne paa.eñ

    dil ye kahtā hai ki naale meñ asar paidā kar

    naale 'beḳhud' ke qayāmat haiñ tujhe yaad rahe

    zulm karnā hai to patthar jigar paidā kar

    de mohabbat to mohabbat mein asar paida kar

    jo idhar dil mein hai ya rab wo udhar paida kar

    dud-e-dil ishq mein itna to asar paida kar

    sar kaTe shama ki manind to sar paida kar

    phir hamara dil-e-gum-gashta bhi mil jaega

    pahle tu apna dahan apni kamar paida kar

    kaam lene hain mohabbat mein bahut se ya rab

    aur dil de hamein ek aur jigar paida kar

    tham zara ai adam-abaad ke jaane wale

    rah ke duniya mein abhi zad-e-safar paida kar

    jhuT jab bolte hain wo to dua hoti hai

    ya ilahi meri baaton mein asar paida kar

    aaina dekhna is husn pe aasan nahin

    pesh-tar aankh meri meri nazar paida kar

    subh-e-furqat to qayamat ki sahar hai ya rab

    apne bandon ke liye aur sahar paida kar

    mujh ko rota hua dekhen to jhulas jaen raqib

    aag pani mein bhi ai soz-e-jigar paida kar

    miT ke bhi duri-e-gulshan nahin bhati ya rab

    apni qudrat se meri KHak mein par paida kar

    shikwa-e-dard-e-judai pe wo farmate hain

    ranj sahne ko hamara sa jigar paida kar

    din nikalne ko hai rahat se guzar jaane de

    ruTh kar tu na qayamat ki sahar paida kar

    hum ne dekha hai ki mil jate hain laDne wale

    sulh ki KHu bhi to ai bani-e-shar paida kar

    mujh se ghar aane ke wade par bigaD kar bole

    kah diya ghair ke dil mein abhi ghar paida kar

    mujh se kahti hai kaDak kar ye kaman qatil ki

    tir ban jae nishana wo jigar paida kar

    kya qayamat mein bhi parda na uThega ruKH se

    ab to meri shab-e-yalda ki sahar paida kar

    dekhna khel nahin jalwa-e-didar tera

    pahle musa sa koi ahl-e-nazar paida kar

    dil mein bhi milta hai wo kaba bhi us ka hai maqam

    rah nazdik ki ai azm-e-safar paida kar

    zof ka hukm ye hai honT na hilne paen

    dil ye kahta hai ki nale mein asar paida kar

    nale 'beKHud' ke qayamat hain tujhe yaad rahe

    zulm karna hai to patthar ka jigar paida kar

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    de mohabbat to mohabbat mein asar paida kar Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now