Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

de sakta hai kya meri wafaon ka sila aur

Jameel Arshad Khan Arshad

de sakta hai kya meri wafaon ka sila aur

Jameel Arshad Khan Arshad

MORE BYJameel Arshad Khan Arshad

    de saktā hai kyā merī vafāoñ silā aur

    tarkash meñ agar tiir hoñ baaqī to chalā aur

    maiñ rāh-rav-e-rāh-e-tamannā huuñ sitam-gar

    har zaḳhm pe baḌh jaatā hai kuchh merā nishāñ aur

    dīvāne jalāte haiñ charāġhoñ ko lahū se

    is vāste baḌh jaatī hai kuchh un ziyā aur

    is millat-e-mazlūm ġhairat ko jagāne

    do chaar thapeḌe zarā ai mauj-e-balā aur

    kyā hausla toḌegī mirā bād-e-muḳhālif

    bujhtā hai diyā ek to jaltā hai diyā aur

    phailegī shafaq ban ke mire ḳhuun laalī

    gardūñ ke bhī phir hoñge kuchh andāz-e-adā aur

    tabdīlī-e-hālāt shā.eq hai zamāna

    darkār magar hai abhī kuchh rang-e-hinā aur

    pīrān-e-ḳharābāt to mai-noshī meñ ḳhush haiñ

    ma.alūm ho kyā un ko mohabbat hai nasha aur

    hai ḳhirqa-e-sālūs ye zāhid zarā bachnā

    ḳhalvat qabā aur hai jalvat qabā aur

    ho saktā hai maiñ tujh ko mayassar na rahūñ kal

    bhar ke mujhe jān-e-vafā aaj satā aur

    ye kaise masīhā se paḌā hai mirā paalā

    baḌhtā hai maraz merā jo detā hai davā aur

    pur-ḳhār guzargāh shaidā.ī huuñ 'arshad'

    is raah pa chalne hai apnā mazā aur

    de sakta hai kya meri wafaon ka sila aur

    tarkash mein agar tir hon baqi to chala aur

    main rah-raw-e-rah-e-tamanna hun sitam-gar

    har zaKHm pe baDh jata hai kuchh mera nishan aur

    diwane jalate hain charaghon ko lahu se

    is waste baDh jati hai kuchh un ki ziya aur

    is millat-e-mazlum ki ghairat ko jagane

    do chaar thapeDe zara ai mauj-e-bala aur

    kya hausla toDegi mera baad-e-muKHalif

    bujhta hai diya ek to jalta hai diya aur

    phailegi shafaq ban ke mere KHun ki lali

    gardun ke bhi phir honge kuchh andaz-e-ada aur

    tabdili-e-haalat ka shaeq hai zamana

    darkar magar hai abhi kuchh rang-e-hina aur

    piran-e-KHarabaat to mai-noshi mein KHush hain

    malum ho kya un ko mohabbat hai nasha aur

    hai KHirqa-e-salus ye zahid zara bachna

    KHalwat ki qaba aur hai jalwat ki qaba aur

    ho sakta hai main tujh ko mayassar na rahun kal

    ji bhar ke mujhe jaan-e-wafa aaj sata aur

    ye kaise masiha se paDa hai mera pala

    baDhta hai maraz mera jo deta hai dawa aur

    pur-KHar guzargah ka shaidai hun 'arshad'

    is rah pa chalne ka hai apna hi maza aur

    Source:

    Ghazlistan-e-Barar (Pg. 415)

      • Publisher: Sajid Urdu Press, Akola
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now