Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dekh ab apne hayule ko fana hote hue

Shahzad Ahmad

dekh ab apne hayule ko fana hote hue

Shahzad Ahmad

MORE BYShahzad Ahmad

    dekh ab apne hayūle ko fanā hote hue

    ne bandoñ se laḌā.ī ḳhudā hote hue

    faisla honā hai jo kuchh aaj honā chāhiye

    muddateñ lag jā.eñgī mahshar bapā hote hue

    sochtā rahtā huuñ kab badlegī gulshan havā

    dekhtā rahtā huuñ lamhoñ ko havā hote hue

    hai balā ab kaun baaqī jo mujh par aa.egī

    maiñ kisī se kyuuñ Darūñ be-dast-o-pā hote hue

    dekhte rahte ho sab kuchh bolte kuchh bhī nahīñ

    kis qadar bedard ho dard-āshnā hote hue

    zard chehra surḳh āñkheñ kāñpte be-sabr hoñT

    ye sabhī kuchh aur dil-e-be-mudda.ā hote hue

    shādmāñ huuñ apnī sab majbūriyoñ ke bāvajūd

    mutma.in huuñ ruuh ke andar ḳhalā hote hue

    jin ko dhutkārtā hai vo bhī tere saa.e haiñ

    ne itnā bhī nahīñ sochā ḳhafā hote hue

    aaj tābindagī se kal andāza na kar

    dekh pattoñ ko daraḳhtoñ se judā hote hue

    muntazir huuñ kaun aatā hai koī vahshī ki chor

    sun rahā huuñ phir se darvāze ko hote hue

    dekh ab apne hayule ko fana hote hue

    tu ne bandon se laDai ki KHuda hote hue

    faisla hona hai jo kuchh aaj hona chahiye

    muddaten lag jaengi mahshar bapa hote hue

    sochta rahta hun kab badlegi gulshan ki hawa

    dekhta rahta hun lamhon ko hawa hote hue

    hai bala ab kaun si baqi jo mujh par aaegi

    main kisi se kyun Darun be-dast-o-pa hote hue

    dekhte rahte ho sab kuchh bolte kuchh bhi nahin

    kis qadar bedard ho dard-ashna hote hue

    zard chehra surKH aankhen kanpte be-sabr honT

    ye sabhi kuchh aur dil-e-be-muddaa hote hue

    shadman hun apni sab majburiyon ke bawajud

    mutmain hun ruh ke andar KHala hote hue

    jin ko tu dhutkarta hai wo bhi tere sae hain

    tu ne itna bhi nahin socha KHafa hote hue

    aaj ki tabindagi se kal ka andaza na kar

    dekh patton ko daraKHton se juda hote hue

    muntazir hun kaun aata hai koi wahshi ki chor

    sun raha hun phir se darwaze ko wa hote hue

    Source:

    Deewar pe dastak (Pg. 68)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now